Jadu Ka Shahr, Urdu Nazam By Shahid Ahmad Shoaib

Jadu Ka Shahr is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shahid Ahmad Shoaib. Jadu Ka Shahr comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Jadu Ka Shahr on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جادو کا شہر

شاہد احمد شعیب

دور بہت اس ویرانے سے

جادو کا اک شہر بسا ہے

روپ

نرالے ہیں جلووں کے

راگ میں

رنگ میں

رس میں

ڈوبے لمحوں کی رفتار نئی ہے

ڈوبے لمحوں کی رفتار نئی ہے

ہر جانب

اک موج طرب ہے

رقص میں سترنگی کرنیں ہیں

رقص بدن ہے

رقص نوا ہے

یعنی

مدھر سنگیت کی صورت

صوت و صدا ہے

فرش زمیں پر چاند ستارے

ذروں میں نیلم کی چمک ہے

جادو کے اس شہر سے دور

دور بہت

اس ویرانے میں

انجانی اک راہ گزر پر

کب سے تنہا

سوچ رہا ہوں

جادو کے اس شہر کے اندر

جانا تو اک جرم ہے مجھ کو

میں تو

کب سے شہر بدر ہوں

شاہد احمد شعیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jadu Ka Shahr

Shahid Ahmad Shoaib

dur bahut us virane se
jadu ka ek shahr basa hai

rup
nirale hain jalwon ke
rag mein
rang mein
ras mein
Dube lamhon ki raftar nai hai
Dube lamhon ki raftar nai hai
har jaanib
ek mauj-e-tarab hai
raqs mein satrangi kirnen hain
raqs-e-badan hai
raqs-e-nawa hai
yani
madhur sangit ki surat
saut-o-sada hai
farsh-e-zamin par chand sitare
zarron mein nilam ki chamak hai

jadu ke is shahr se dur
dur bahut
is virane mein
anjaani ek rahguzar par
kab se tanha
soch raha hun
jadu ke is shahr ke andar
jaana to ek jurm hai mujh ko
main to
kab se shahr-badar hun

(419) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jadu Ka Shahr written by Shahid Ahmad Shoaib at UrduPoint. Jadu Ka Shahr is one of the masterpieces written by Shahid Ahmad Shoaib. You can also find the complete poetry collection of Shahid Ahmad Shoaib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahid Ahmad Shoaib' above.

Jadu Ka Shahr is a widely read Urdu Nazam. If you like Jadu Ka Shahr, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.