Raat Hai Iztirab Ki Chadar, Urdu Ghazal By Shahrukh Abeer

Raat Hai Iztirab Ki Chadar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahrukh Abeer. Raat Hai Iztirab Ki Chadar comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Raat Hai Iztirab Ki Chadar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات ہے اضطراب کی چادر

شاہ رخ عبیر

رات ہے اضطراب کی چادر

جیسے صحرا سراب کی چادر

آگ میں ہم جھلس گئے اتنے

اوڑھ لی پھر عذاب کی چادر

ایک منظر میں سمٹے ہم دونوں

تان کر انتساب کی چادر

میرے جوگی ابھی تو دھیرے بول

میں نے تانی ہے خواب کی چادر

تم مجھے آئنے سے لگتے ہو

جیسے ہوتی ہے آب کی چادر

مسخرے پن سے باز آ جاؤ

زندگی ہے حباب کی چادر

روح نے جسم اوڑھ رکھا ہے

اب چڑھاؤ گلاب کی چادر

شاہ رخ عبیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat Hai Iztirab Ki Chadar

Shahrukh Abeer

raat hai iztirab ki chadar
jaise sahra sarab ki chadar

aag mein hum jhulas gae itne
oDh li phir azab ki chadar

ek manzar mein simTe hum donon
tan kar intisab ki chadar

mere jogi abhi tu dhire bol
main ne tani hai KHwab ki chadar

tum mujhe aaine se lagte ho
jaise hoti hai aab ki chadar

masKHare-pan se baz aa jao
zindagi hai habab ki chadar

ruh ne jism oDh rakkha hai
ab chaDhao gulab ki chadar

(427) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raat Hai Iztirab Ki Chadar written by Shahrukh Abeer at UrduPoint. Raat Hai Iztirab Ki Chadar is one of the masterpieces written by Shahrukh Abeer. You can also find the complete poetry collection of Shahrukh Abeer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahrukh Abeer' above.

Raat Hai Iztirab Ki Chadar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raat Hai Iztirab Ki Chadar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.