Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon, Urdu Ghazal By Shaikh Zahuruddin Hatim

Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaikh Zahuruddin Hatim. Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon comes under the Social, Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ملا دئے خاک میں خدا نے پلک کے لگتے ہی شاہ لاکھوں

شیخ ظہور الدین حاتم

ملا دئے خاک میں خدا نے پلک کے لگتے ہی شاہ لاکھوں

جنہوں کے ادنیٰ غلام رکھتے تھے اپنے چاکر سپاہ لاکھوں

نماز و روزے زکوٰۃ و حج پر نہیں ہے موقوف کچھ اے زاہد

جدھر کو جاوے اُدھر کو ہیں گے خدا کے ملنے کے راہ لاکھوں

سنا ہے میں نے کہ تو نے میرا کیا ہے شکوہ کسی سے ظالم

ترے ستم اور مری وفا کے جہاں میں ہیں گے گواہ لاکھوں

عجب تماشا ہے کس سے کہیے اثر نہیں سنگ دل کے دل میں

کروں ہوں یارو میں ایک دم میں ہزاروں نالے و آہ لاکھوں

کرے ہے فریاد ایک عالم گلی میں اس کی ہے شور محشر

جو ایک ہوئے تو کیجے انصاف اس کے ہیں داد خواہ لاکھوں

کروڑ باری میں سو طرح سے کہا کہ کھا اور کھلا نہ مانا

کوئی تو لیوے گا چھین تجھ سے تو جوڑ خست پناہ لاکھوں

یہ مصرع سوز سن کے حاتمؔ کہے ہے ناصح سے اے عزیزو

امید بخشش ہے جب سے ہم کو کیے ہیں ہم نے گناہ لاکھوں

شیخ ظہور الدین حاتم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon

Shaikh Zahuruddin Hatim

mila diye KHak mein KHuda ne palak ke lagte hi shah lakhon
jinhon ke adna ghulam rakhte the apne chaakar sipah lakhon

namaz o roze zakat o haj par nahin hai mauquf kuchh ai zahid
jidhar ko jawe udhar ko hainge KHuda ke milne ke rah lakhon

suna hai main ne ki tu ne mera kiya hai shikwa kisi se zalim
tere sitam aur meri wafa ke jahan mein hainge gawah lakhon

ajab tamasha hai kis se kahiye asar nahin sang-dil ke dil mein
karun hun yaro main ek dam mein hazaron nale wa aah lakhon

kare hai fariyaad ek aalam gali mein us ki hai shor-e-mahshar
jo ek hoe to kije insaf us ke hain dad-KHwah lakhon

karoD bari mein sau tarah se kaha ki kha aur khila na mana
koi to lewega chhin tujh se tu joD KHissat-panah lakhon

ye misra-e-soz sun ke 'hatim' kahe hai naseh se ai azizo
umid-e-baKHshish hai jab se hum ko kiye hain hum ne gunah lakhon

(509) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon written by Shaikh Zahuruddin Hatim at UrduPoint. Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon is one of the masterpieces written by Shaikh Zahuruddin Hatim. You can also find the complete poetry collection of Shaikh Zahuruddin Hatim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaikh Zahuruddin Hatim' above.

Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mila Diye KHak Mein KHuda Ne Palak Ke Lagte Hi Shah Lakhon, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.