Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe, Urdu Ghazal By Shakeel Gwaliari

Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shakeel Gwaliari. Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شہر کا شہر جانتا ہے مجھے

شکیل گوالیاری

شہر کا شہر جانتا ہے مجھے

شہر کے شہر سے گلہ ہے مجھے

میرا بس ایک ہی ٹھکانا ہے

میں کہاں جاؤں گا پتا ہے مجھے

روشنی میں کہیں اگل دے گا

میرا سایہ نگل گیا ہے مجھے

بن گیا ہوں گناہ کی تصویر

کوئی چھپ چھپ کے دیکھتا ہے مجھے

راستے بھی تو سو گئے ہوں گے

اپنے بستر پہ جاگنا ہے مجھے

اس کی باتیں سمجھ رہا ہوں میں

وہ بھی لفظوں میں تولتا ہے مجھے

یہ نتیجہ ہے آگہی کا شکیلؔ

آج کل اک جنون سا ہے مجھے

شکیل گوالیاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe

Shakeel Gwaliari

shahr ka shahr jaanta hai mujhe
shahr ke shahr se gila hai mujhe

mera bas ek hi Thikana hai
main kahan jaunga pata hai mujhe

raushni mein kahin ugal dega
mera saya nigal gaya hai mujhe

ban gaya hun gunah ki taswir
koi chhup chhup ke dekhta hai mujhe

raste bhi to so gae honge
apne bistar pe jagna hai mujhe

us ki baaten samajh raha hun main
wo bhi lafzon mein taulta hai mujhe

ye natija hai aagahi ka 'shakil'
aaj kal ek junun sa hai mujhe

(439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe written by Shakeel Gwaliari at UrduPoint. Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe is one of the masterpieces written by Shakeel Gwaliari. You can also find the complete poetry collection of Shakeel Gwaliari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shakeel Gwaliari' above.

Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shahr Ka Shahr Jaanta Hai Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.