Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum, Urdu Ghazal By Shamsur Rahman Faruqi

Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shamsur Rahman Faruqi. Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لغزش پائے ہوش کا حرف جواز لے کے ہم

شمس الرحمن فاروقی

لغزش پائے ہوش کا حرف جواز لے کے ہم

خود کو سمجھنے آئے ہیں روح مجاز لے کے ہم

کرب کے ایک لمحے میں لاکھ برس گزر گئے

مالک حشر کیا کریں عمر دراز لے کے ہم

شام کی دھندلی چھاؤں میں پھیلے ہیں سائے دار کے

سجدہ کریں کہ آئے ہیں ذوق نماز لے کے ہم

دور افق پہ جا کہیں دونوں لکیریں مل گئیں

آئے تو تھے حضور‌ دل ناز و نیاز لے کے ہم

رات ڈھلی ہے چاند گم دور جلے ہیں دو دیئے

راز تو ہے پہ کس کے پاس جائیں یہ راز لے کے ہم

رقص شرر میں کھو گئے برق کے دل سے مل گئے

لالہ و گل میں کھل گئے موت کا راز لے کے ہم

روئے سخن بدل گیا بڑھنے لگے ہیں فاصلے

آہ سکوت منجمد بیٹھے ہیں ساز لے کے ہم

شمس الرحمن فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum

Shamsur Rahman Faruqi

laghzish pa-e-hosh ka harf-e-jawaz le ke hum
KHud ko samajhne aae hain ruh-e-majaz le ke hum

karb ke ek lamhe mein lakh baras guzar gae
malik-e-hashr kya karen umr-e-daraaz le ke hum

sham ki dhundli chhanw mein phaile hain sae dar ke
sajda karen ki aae hain zauq-e-namaz le ke hum

dur ufuq pe ja kahin donon lakiren mil gain
aae to the huzur-e-dil naz-o-niyaz le ke hum

raat Dhali hai chand gum dur jale hain do diye
raaz to hai pa kis ke pas jaen ye raaz le ke hum

raqs-e-sharar mein kho gae barq ke dil se mil gae
lala-o-gul mein khil gae maut ka raaz le ke hum

ru-e-suKHan badal gaya baDhne lage hain fasle
aah-e-sukut munjamid baiThe hain saz le ke hum

(479) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum written by Shamsur Rahman Faruqi at UrduPoint. Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum is one of the masterpieces written by Shamsur Rahman Faruqi. You can also find the complete poetry collection of Shamsur Rahman Faruqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shamsur Rahman Faruqi' above.

Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Laghzish Pa-e-hosh Ka Harf-e-jawaz Le Ke Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.