Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya, Urdu Ghazal By Shankar Lal Shankar

Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shankar Lal Shankar. Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گلشن میں جنوں کا مجھے ساماں نظر آیا

شنکر لال شنکر

گلشن میں جنوں کا مجھے ساماں نظر آیا

جو پھول کھلا چاک گریباں نظر آیا

ہر شے میں ترا حسن درخشاں نظر آیا

جس چیز کو دیکھا مہ تاباں نظر آیا

جس نے اسے دیکھا وہ گرفتار بلا تھا

تصویر کا آئینہ بھی حیراں نظر آیا

یا رب کوئی حد بھی ہے پریشان نظر کی

فرقت میں چمن مجھ کو بیاباں نظر آیا

گلشن میں کھلے گل تو ہوا چل گئی ایسی

ثابت نہ کسی کا بھی گریباں نظر آیا

آئینے میں کیا دیکھ لیا کون بتائے

زلفوں کی طرح خود وہ پریشاں نظر آیا

پھر طور پہ جانے کی ضرورت ہمیں کیا تھی

جب آنکھ اٹھی جلوۂ جاناں نظر آیا

تاثیر نئی فصل بہاراں میں یہ دیکھی

دامن کی جگہ ہم کو گریباں نظر آیا

اے عشق بہت تو نے تو دیکھا ہے زمانہ

مجھ سا بھی کوئی بے سر و ساماں نظر آیا

ہے حسن کی سرکار میں توصیف وفا کی

وہ کہتے ہیں شنکرؔ ہمیں انساں نظر آیا

شنکر لال شنکر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya

Shankar Lal Shankar

gulshan mein junun ka mujhe saman nazar aaya
jo phul khila chaak-gareban nazar aaya

har shai mein tera husn-e-daraKHshan nazar aaya
jis chiz ko dekha mah-e-taban nazar aaya

jis ne use dekha wo giraftar-e-bala tha
taswir ka aaina bhi hairan nazar aaya

yarab koi had bhi hai pareshan-nazar ki
furqat mein chaman mujh ko bayaban nazar aaya

gulshan mein khile gul to hawa chal gai aisi
sabit na kisi ka bhi gareban nazar aaya

aaine mein kya dekh liya kaun batae
zulfon ki tarah KHud wo pareshan nazar aaya

phir tur pe jaane ki zarurat hamein kya thi
jab aankh uThi jalwa-e-jaanan nazar aaya

tasir nai fasl-e-bahaaran mein ye dekhi
daman ki jagah hum ko gareban nazar aaya

ai ishq bahut tu ne to dekha hai zamana
mujh sa bhi koi be-sar-o-saman nazar aaya

hai husn ki sarkar mein tausif wafa ki
wo kahte hain 'shankar' hamein insan nazar aaya

(476) ووٹ وصول ہوئے

You can read Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya written by Shankar Lal Shankar at UrduPoint. Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya is one of the masterpieces written by Shankar Lal Shankar. You can also find the complete poetry collection of Shankar Lal Shankar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shankar Lal Shankar' above.

Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gulshan Mein Junun Ka Mujhe Saman Nazar Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.