KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko, Urdu Ghazal By Shariq Jamal Nagpuri

KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shariq Jamal Nagpuri. KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواب ایسا بھی نظر آیا ہے اکثر مجھ کو

شارق جمال ناگپوری

خواب ایسا بھی نظر آیا ہے اکثر مجھ کو

لگا جبریل کا شہ پر مرا بستر مجھ کو

اپنے مقصد کے لیے لفظ بنا کر مجھ کو

کوئی دوڑاتا ہے کاغذ کی سڑک پر مجھ کو

ڈس نہ لے دیکھو کہیں دھوپ کا منظر مجھ کو

تم نے بھیجا تو ہے بل کھاتی سڑک پر مجھ کو

سب کو میں ان کی کتابوں میں نظر آتا ہوں

لوگ پڑھتے ہیں ترے شہر میں گھر گھر مجھ کو

کیوں نہ گھبراؤں کہ تنہا ہوں گھنا ہے جنگل

دور سے دیکھے ہے سناٹے کا لشکر مجھ کو

کیوں نہ صحرا کو نچوڑوں کہ مری پیاس بجھے

دے گا اک قطرہ نہ کنجوس سمندر مجھ کو

نیند جب تک تھی مری آنکھوں میں محفوظ تھا میں

قتل لمحوں نے کیا خواب سے باہر مجھ کو

میری آنکھوں کے دہکتے ہوئے شعلہ پہ نہ جا

سرد کتنا ہوں سمجھ ہاتھ سے چھو کر مجھ کو

وہ پگھلتا ہے کہ شارقؔ مرا تن جلتا ہے

دیکھے رکھ کر کوئی سورج کے برابر مجھ کو

شارق جمال ناگپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko

Shariq Jamal Nagpuri

KHwab aisa bhi nazar aaya hai akasr mujh ko
laga jibril ka shahpar mera bistar mujh ko

apne maqsad ke liye lafz bana kar mujh ko
koi dauData hai kaghaz ki saDak par mujh ko

Das na le dekho kahin dhup ka manzar mujh ko
tum ne bheja to hai bal khati saDak par mujh ko

sab ko main un ki kitabon mein nazar aata hun
log paDhte hain tere shahr mein ghar ghar mujh ko

kyun na ghabraun ki tanha hun ghana hai jangal
dur se dekhe hai sannaTe ka lashkar mujh ko

kyun na sahra ko nichoDun ki meri pyas bujhe
dega ek qatra na kanjus samundar mujh ko

nind jab tak thi meri aankhon mein mahfuz tha main
qatl lamhon ne kiya KHwab se bahar mujh ko

meri aankhon ke dahakte hue shole pa na ja
sard kitna hun samajh hath se chhu kar mujh ko

wo pighalta hai ki 'shaariq' mera tan jalta hai
dekhe rakh kar koi suraj ke barabar mujh ko

(399) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko written by Shariq Jamal Nagpuri at UrduPoint. KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko is one of the masterpieces written by Shariq Jamal Nagpuri. You can also find the complete poetry collection of Shariq Jamal Nagpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shariq Jamal Nagpuri' above.

KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwab Aisa Bhi Nazar Aaya Hai Akasr Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.