KHak Ko Main KHwar Kyun Karta, Urdu Nazam By Hariq Kaifi

KHak Ko Main KHwar Kyun Karta is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Hariq Kaifi. KHak Ko Main KHwar Kyun Karta comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read KHak Ko Main KHwar Kyun Karta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خاک کو میں خوار کیوں کرتا

شارق کیفی

دعائے خیر سے

دعائے مغفرت تک کا سفر پورا ہوا

اور اب میں اپنی قبر میں ہوں

ذرا حیرت زدہ ہوں

مگر یہ قبر اتنی تنگ بالکل بھی نہیں ہے

میں جیسی سوچتا تھا

مجھے بس عطر اور کافور کی خوشبو پریشاں کر رہی ہے

اور کچھ حد تک یہ ڈورے آنکھ کے

اندھیرا ہے مگر وہ بھی نہایت مہرباں

دل رکھنے والا

بہت مانوس سا لگتا ہے سب کچھ

کچھ ایسا

جیسے کوئی اپنی ماں کی کوکھ میں پھر لوٹ آیا ہو

وہاں اوپر بھی کچھ ہلچل ہے اب تک

ابھی تک لوگ مٹی دے رہے ہیں جسم کو میرے

یہ آوازیں بھی آئی ہیں

برائے مہربانی اپنے جوتے کھول لیجے

یہ مٹی قبر کی ہے اس کی حرمت کو سمجھئے

افسردہ ہو گیا ہوں میں یہ سن کر

اگر یہ بات میں نے زندگی میں جان لی ہوتی

کہ بس صورت بدل لینے سے مٹی پاک ہو سکتی ہے میری

تو اپنی خاک کو میں خوار کیوں کرتا

میں اتنا زندگی سے پیار کیوں کرتا

شارق کیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHak Ko Main KHwar Kyun Karta

Hariq Kaifi

dua-e-KHair se
dua-e-maghfirat tak ka safar pura hua
aur ab main apni qabr mein hun
zara hairat-zada hun
magar ye qabr itni tang bilkul bhi nahin hai
main jaisi sochta tha
mujhe bas itr aur kafur ki KHushbu pareshan kar rahi hai
aur kuchh had tak ye Dore aankh ke
andhera hai magar wo bhi nihayat mehrban
dil rakhne wala
bahut manus sa lagta hai sab kuchh
kuchh aisa
jaise koi apni man ki kokh mein phir lauT aaya ho
wahan upar bhi kuchh halchal hai ab tak
abhi tak log miTTi de rahe hain jism ko mere
ye aawazen bhi aai hain
bara-e-mehrbani apne jute khol lije
ye miTTi qabr ki hai is ki hurmat ko samajhiye
afsurda ho gaya hun main ye sun kar
agar ye baat main ne zindagi mein jaan li hoti
ki bas surat badal lene se miTTi pak ho sakti hai meri
to apni KHak ko main KHwar kyun karta
main itna zindagi se pyar kyun karta

(384) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHak Ko Main KHwar Kyun Karta written by Hariq Kaifi at UrduPoint. KHak Ko Main KHwar Kyun Karta is one of the masterpieces written by Hariq Kaifi. You can also find the complete poetry collection of Hariq Kaifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hariq Kaifi' above.

KHak Ko Main KHwar Kyun Karta is a widely read Urdu Nazam. If you like KHak Ko Main KHwar Kyun Karta, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.