Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai, Urdu Ghazal By Shaukat Thanvi

Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaukat Thanvi. Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیر میں ہے وہ نہ کعبہ میں نہ بت خانے میں ہے

شوکت تھانوی

دیر میں ہے وہ نہ کعبہ میں نہ بت خانے میں ہے

ڈھونڈھتا ہوں جس کو میں وہ میرے کاشانے میں ہے

یہ ترا حسن تصور تیرے کاشانے میں ہے

تو نہ آبادی میں ہے غافل نہ ویرانے میں ہے

ہے بجائے خود زمانہ بیکسی میں مبتلا

اب مروت کا نشاں اپنے نہ بیگانے میں ہے

اس کی حسرت دیکھیے اس کا کلیجہ دیکھیے

راز جس کی زندگی کا اس کے مر جانے میں ہے

اصل میں اے شمع تو ہے مخزن سوز و گداز

تجھ سے جو کچھ بچ رہا وہ سوز پروانے میں ہے

مجھ کو جنت سے کوئی مطلب نہ کوثر سے غرض

میرے حصہ کی وہی مے ہے جو پیمانے میں ہے

روشنی تاروں سے ہوتی ہے نہ شمعوں سے ضیا

کیا زمانے کی سیاہی میرے غم خانے میں ہے

میں نہیں کہتا مگر میں نے سنا ہے بارہا

جنت الفردوس کی اک راہ میخانے میں ہے

میں جو روتا ہوں تو روتا ہے زمانہ میرے ساتھ

غم زمانے بھر کا شوکتؔ میرے افسانے میں ہے

شوکت تھانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai

Shaukat Thanvi

dair mein hai wo na kabe mein na but-KHane mein hai
DhunDhta hun jis ko main wo mere kashane mein hai

ye tera husn-e-tasawwur tere kashane mein hai
tu na aabaadi mein hai ghafil na virane mein hai

hai baja-e-KHud zamana bekasi mein mubtala
ab murawwat ka nishan apne na begane mein hai

us ki hasrat dekhiye us ka kaleja dekhiye
raaz jis ki zindagi ka us ke mar jaane mein hai

asl mein ai shama tu hai maKHzan-e-soz-o-gudaz
tujh se jo kuchh bach raha wo soz parwane mein hai

mujh ko jannat se koi matlab na kausar se gharaz
mere hisse ki wahi mai hai jo paimane mein hai

raushni taron se hoti hai na shamon se ziya
kya zamane ki siyahi mere gham-KHane mein hai

main nahin kahta magar main ne suna hai barha
jannat-ul-firdaus ki ek rah maiKHane mein hai

main jo rota hun to rota hai zamana mere sath
gham zamane-bhar ka 'shaukat' mere afsane mein hai

(492) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai written by Shaukat Thanvi at UrduPoint. Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai is one of the masterpieces written by Shaukat Thanvi. You can also find the complete poetry collection of Shaukat Thanvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaukat Thanvi' above.

Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dair Mein Hai Wo Na Kabe Mein Na But-KHane Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.