Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin, Urdu Ghazal By Shaukat Thanvi

Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaukat Thanvi. Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہاں جزا و سزا کا کچھ اعتبار نہیں

شوکت تھانوی

یہاں جزا و سزا کا کچھ اعتبار نہیں

فریب حد نظر ہے عروج دار نہیں

نگاہ لطف میں غم کا مرے شمار نہیں

یہ اعتبار بانداز اعتبار نہیں

سکون موت ہی انجام اضطراب فراق

جسے قرار نہ آئے وہ بیقرار نہیں

خبر نہیں کہ کھلے کتنے پھول گلشن میں

کہ آج جیب و گریباں میں ایک تار نہیں

خدا کے نام پہ دل کو سپرد‌‌ عشق کیا

اب اس کے بعد امید مآل کار نہیں

دو آتشہ نہ سہی درد ہی سہی ساقی

جو ان میں فرق کرے کچھ وہ بادہ خوار نہیں

اب اس کو آ کے بجھائے کوئی تو ہم جانیں

یہ داغ دل ہے چراغ سر مزار نہیں

رہین عیش ہے خو کردۂ تمنا ہے

وہ بادہ خوار جو سرگشتۂ خمار نہیں

زمانہ گھوم رہا ہے مری نگاہوں میں

مجھے قرار نہیں تو کہیں قرار نہیں

نہ جا نہ جا کبھی اس گلشن طرب میں نہ جا

جنوں کا نام جہاں موسم بہار نہیں

زمانہ میری تباہی پہ جان دے دیتا

میں خود ہی اپنی تباہی کا سوگوار نہیں

کرشمہ سازیٔ نیرنگ حسن کیا کہئے

ہزاروں عہد ہیں اور کوئی استوار نہیں

شب فراق میں انداز حشر ہے شوکتؔ

اب اس کے بعد قیامت کا انتظار نہیں

شوکت تھانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin

Shaukat Thanvi

yahan jaza-o-saza ka kuchh e'tibar nahin
fareb-e-hadd-e-nazar hai uruj-e-dar nahin

nigah-e-lutf mein gham ka mere shumar nahin
ye e'tibar ba-andaz-e-e'tibar nahin

sukun maut hi anjam-e-iztirab-e-firaq
jise qarar na aae wo be-qarar nahin

KHabar nahin ki khile kitne phul gulshan mein
ki aaj jaib-o-gareban mein ek tar nahin

KHuda ke nam pe dil ko sipurd-e-ishq kiya
ab is ke baad umid-e-maal-e-kar nahin

do aatisha na sahi dard hi sahi saqi
jo un mein farq kare kuchh wo baada-KHwar nahin

ab us ko aa ke bujhae koi to hum jaanen
ye dagh-e-dil hai charagh-e-sar-e-mazar nahin

rahin-e-aish hai KHu-karda-e-tamanna hai
wo baada-KHwar jo sar-gashta-e-KHumar nahin

zamana ghum raha hai meri nigahon mein
mujhe qarar nahin to kahin qarar nahin

na ja na ja kabhi us gulshan-e-tarab mein na ja
junun ka nam jahan mausam-e-bahaar nahin

zamana meri tabahi pe jaan de deta
main KHud hi apni tabahi ka sogwar nahin

karishma-shazi-e-nairang-e-husn kya kahiye
hazaron ahd hain aur koi ustuwar nahin

shab-e-firaq mein andaz-e-hashr hai 'shaukat'
ab is ke baad qayamat ka intizar nahin

(598) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin written by Shaukat Thanvi at UrduPoint. Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin is one of the masterpieces written by Shaukat Thanvi. You can also find the complete poetry collection of Shaukat Thanvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaukat Thanvi' above.

Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yahan Jaza-o-saza Ka Kuchh Etibar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.