Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin, Urdu Ghazal By Shaukat Thanvi

Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaukat Thanvi. Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندہ ہوں یوں کہ بس میں مری خود کشی نہیں

شوکت تھانوی

زندہ ہوں یوں کہ بس میں مری خود کشی نہیں

آخر یہ اور کیا ہے اگر بے بسی نہیں

وہ دل دیا نصیب نے جس میں خوشی نہیں

اک چیز تو ملی ہے مگر کام کی نہیں

ہاں اے شب فراق تجھے جانتا ہوں میں

تو صبح تک رہی تو مری زندگی نہیں

ہرگز فریب رنگ مسرت نہ کھائیے

یہ غم کا نام ہے یہ حقیقی خوشی نہیں

دنیا کی زینتوں میں نہیں کوئی بھی کمی

لیکن مری نظر میں وہ دل بستگی نہیں

ارمان بھی وہیں ہیں تمنا بھی ہے وہی

جس دل سے تھی یہ گرمئ محفل وہی نہیں

ہنسنے میں بھی نہاں ہیں یہاں نالہ ہائے درد

پامال رسم عجز مری بندگی نہیں

امید ہے جواب غم آرزو مگر

وہ کیا کرے جسے کوئی امید ہی نہیں

وعدے نے تیرے سارے ارادے بدل دیے

حالانکہ درد دل میں ذرا بھی کمی نہیں

میں ہوں کہ مجھ سے سارا زمانہ خلاف ہے

حالانکہ جرم عشق سے کوئی بری نہیں

عبرت فزا ہے اہل زمانہ کے واسطے

شوکتؔ وہ داستاں جو کسی نے سنی نہیں

شوکت تھانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin

Shaukat Thanvi

zinda hun yun ki bas mein meri KHud-kushi nahin
aaKHir ye aur kya hai agar bebasi nahin

wo dil diya nasib ne jis mein KHushi nahin
ek chiz to mili hai magar kaam ki nahin

han ai shab-e-firaq tujhe jaanta hun main
tu subh tak rahi to meri zindagi nahin

hargiz fareb-e-rang-e-masarrat na khaiye
ye gham ka nam hai ye haqiqi KHushi nahin

duniya ki zinaton mein nahin koi bhi kami
lekin meri nazar mein wo dil-bastagi nahin

arman bhi wahin hain tamanna bhi hai wahi
jis dil se thi ye garmi-e-mahfil wahi nahin

hansne mein bhi nihan hain yahan nala-ha-e-dard
pamal rasm-e-ijz meri bandagi nahin

ummid hai jawab-e-gham-e-arzu magar
wo kya kare jise koi ummid hi nahin

wade ne tere sare irade badal diye
haalanki dard-e-dil mein zara bhi kami nahin

main hun ki mujh se sara zamana KHilaf hai
haalanki jurm-e-ishq se koi bari nahin

ibrat-faza hai ahl-e-zamana ke waste
'shaukat' wo dastan jo kisi ne suni nahin

(612) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin written by Shaukat Thanvi at UrduPoint. Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin is one of the masterpieces written by Shaukat Thanvi. You can also find the complete poetry collection of Shaukat Thanvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaukat Thanvi' above.

Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zinda Hun Yun Ki Bas Mein Meri KHud-kushi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.