RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar, Urdu Ghazal By Shauq Bijnori

RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Bijnori. RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رخ روشن کو بے نقاب نہ کر

شوق بجنوری

رخ روشن کو بے نقاب نہ کر

دل کی دنیا میں انقلاب نہ کر

آئنہ رکھ نہ سامنے اس کے

حسن خودبیں کو لا جواب نہ کر

چار سو جلوہ گر تو ہی تو ہے

آئنہ خانہ میں حجاب نہ کر

میرے نغموں میں کیف غم بھر دے

مجھ کو منت کش رباب نہ کر

میری اختر شماریاں مت پوچھ

اپنے وعدوں کا کچھ حساب نہ کر

بخت دازوں کو رو رہا ہوں میں

غم زدہ پر فلک عذاب نہ کر

راہ پرخار ہے ابھی در پیش

آبلوں کا ابھی حساب نہ کر

شوقؔ ہے تیرا منتظر کب سے

اب تو صورت دکھا حجاب نہ کر

شوق بجنوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar

Shauq Bijnori

ruKH-e-raushan ko be-naqab na kar
dil ki duniya mein inqalab na kar

aaina rakh na samne us ke
husn KHud-bin ko la-jawab na kar

chaar-su jalwa-gar tu hi tu hai
aaina-KHana mein hijab na kar

mere naghmon mein kaif-e-gham bhar de
mujh ko minnat-kash-e-rabab na kar

meri aKHtar-shumariyan mat puchh
apne wadon ka kuchh hisab na kar

baKHt-dazon ko ro raha hun main
gham-zada par falak azab na kar

rah-e-pur-KHar hai abhi dar-pesh
aablon ka abhi hisab na kar

'shauq' hai tera muntazir kab se
ab to surat dikha hijab na kar

(578) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar written by Shauq Bijnori at UrduPoint. RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar is one of the masterpieces written by Shauq Bijnori. You can also find the complete poetry collection of Shauq Bijnori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Bijnori' above.

RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like RuKH-e-raushan Ko Be-naqab Na Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.