Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun, Urdu Ghazal By Shauq Jalandhari

Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Jalandhari. Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صاحب صدق ہوں میں خوف خدا رکھتا ہوں

شوق جالندھری

صاحب صدق ہوں میں خوف خدا رکھتا ہوں

اپنے ہونٹوں پہ سدا حق کی صدا رکھتا ہوں

آج کل جینے کا انداز جدا رکھتا ہوں

اپنے دشمن کے لئے لب پہ دعا رکھتا ہوں

بند کمرے میں کوئی بیٹھ کے کچھ بھی سوچے

میں کھلے در کی طرح ذہن کھلا رکھتا ہوں

موسم گل کی کسی چوٹ کا شکوہ کیسا

میں تو پت جھڑ میں بھی ہر زخم ہرا رکھتا ہوں

جانے کس حال میں ہوگا وہ مرا ہرجائی

جیب میں آج بھی میں جس کا پتا رکھتا ہوں

اس کے آنے کی ابھی آس نہیں ٹوٹی ہے

ہر دریچے میں دیا جلتا ہوا رکھتا ہوں

پارسا مجھ کو سمجھتے ہیں زمانے والے

اور میں پیش نظر اپنی خطا رکھتا ہوں

مجھ کو کچھ ڈر نہیں اس دور کے فرعونوں کا

کیونکہ موسیٰ کی طرح میں بھی عصا رکھتا ہوں

تم مجھے دار پہ کھینچو یا مجھے قتل کرو

دار بردار ہوں میں عزم نیا رکھتا ہوں

دوستی یوں تو ہے اس شہر میں سب سے لیکن

اپنے دشمن کا بھی اے شوقؔ پتا رکھتا ہوں

شوق جالندھری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun

Shauq Jalandhari

sahib-e-sidq hun main KHauf-e-KHuda rakhta hun
apne honTon pe sada haq ki sada rakhta hun

aaj-kal jine ka andaz juda rakhta hun
apne dushman ke liye lab pe dua rakhta hun

band kamre mein koi baiTh ke kuchh bhi soche
main khule dar ki tarah zehn khula rakhta hun

mausam-e-gul ki kisi choT ka shikwa kaisa
main to patjhaD mein bhi har zaKHm hara rakhta hun

jaane kis haal mein hoga wo mera harjai
jeb mein aaj bhi main jis ka pata rakhta hun

us ke aane ki abhi aas nahin TuTi hai
har dariche mein diya jalta hua rakhta hun

parsa mujh ko samajhte hain zamane wale
aur main pesh-e-nazar apni KHata rakhta hun

mujh ko kuchh Dar nahin is daur ke firaunon ka
kyunki musa ki tarah main bhi asa rakhta hun

tum mujhe dar pe khincho ya mujhe qatl karo
dar-bardar hun main azm naya rakhta hun

dosti yun to hai is shahr mein sab se lekin
apne dushman ka bhi ai 'shauq' pata rakhta hun

(538) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun written by Shauq Jalandhari at UrduPoint. Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun is one of the masterpieces written by Shauq Jalandhari. You can also find the complete poetry collection of Shauq Jalandhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Jalandhari' above.

Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sahib-e-sidq Hun Main KHauf-e-KHuda Rakhta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.