KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se, Urdu Ghazal By Shehab Kazmi

KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shehab Kazmi. KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود کو نہ میں گراؤں خود اپنی نگاہ سے

شہاب کاظمی

خود کو نہ میں گراؤں خود اپنی نگاہ سے

یا رب بچائے رکھنا مجھے اس گناہ سے

حرف طلب زبان پہ لایا غضب کیا

اک دوست آج اور گیا رسم و راہ سے

تشبیہ مہر و ماہ کا یہ اہتمام ہے

پتھر اٹھا کے لائے ہیں ہم ان کی راہ سے

چھوڑا جو اس نے زیست بھی یہ کہہ کے اٹھ گئی

میں نے بھی آج ہاتھ اٹھایا نباہ سے

سمجھے نہ کوئی بات تو یہ اور بات ہے

کچھ تو نگاہ کہتی تھی پیہم نگاہ سے

شاید نہیں یہ بات مرے قاتلوں کو یاد

قسمت نکال لاتی ہے یوسف کو چاہ سے

شہاب کاظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se

Shehab Kazmi

KHud ko na main giraun KHud apni nigah se
yarab bachae rakhna mujhe is gunah se

harf-e-talab zaban pe laya ghazab kiya
ek dost aaj aur gaya rasm-o-rah se

tashbih-e-mehr-o-mah ka ye ehtimam hai
patthar uTha ke lae hain hum un ki rah se

chhoDa jo us ne zist bhi ye kah ke uTh gai
main ne bhi aaj hath uThaya nibah se

samjhe na koi baat to ye aur baat hai
kuchh to nigah kahti thi paiham nigah se

shayad nahin ye baat mere qatilon ko yaad
qismat nikal lati hai yusuf ko chah se

(362) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se written by Shehab Kazmi at UrduPoint. KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se is one of the masterpieces written by Shehab Kazmi. You can also find the complete poetry collection of Shehab Kazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shehab Kazmi' above.

KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud Ko Na Main Giraun KHud Apni Nigah Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.