Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle, Urdu Ghazal By Shehab Kazmi

Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shehab Kazmi. Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ نکتہ ذہن میں رکھنا کسی الزام سے پہلے

شہاب کاظمی

یہ نکتہ ذہن میں رکھنا کسی الزام سے پہلے

تمہارا نام آئے گا ہمارے نام سے پہلے

نظر آ جائیں گے احباب بھی مشکل تو پڑنے دو

نظر آتے ہیں کب تارے سواد شام سے پہلے

اگر اے محتسب کٹر موحد ہم نہیں ہوتے

خدا کا نام کیوں لیتے بتوں کے نام سے پہلے

یقیناً ہم انہیں پہلے سے بڑھ کر یاد آتے ہیں

جبھی تو نام بھی لیتے ہیں اب دشنام سے پہلے

اگر نزد خدا عشق بتاں اچھا نہیں ہوتا

نہ کرتا عشق کو پیدا خدا اسلام سے پہلے

کسی بلبل سے جگنو عہد نو کا چل دیا کہہ کر

پرندے لوٹ جاتے ہیں گھروں کو شام سے پہلے

کہیں ایسا نہ ہو خوف خدا دل میں سما جائے

جو کرنا ہو وہ کر لو بندش احرام سے پہلے

بتان خود تراشیدہ کی پوجا ہو بھی سکتی ہے

مگر فتویٰ تو لے لو مفتیٔ اسلام سے پہلے

تحمل ناگزیر عشق اور ہم اتنے بے صبرے

فسانہ بھی نہیں پڑھتے مگر انجام سے پہلے

کوئی دل توڑنا ہو یا کوئی مسجد گرانا ہو

کہا کرتے ہیں بسم اللہ ہم ہر کام سے پہلے

شہابؔ اس دور میں یوں دوستوں سے خوف کھاتے ہیں

ڈرا کرتے تھے جیسے گردش ایام سے پہلے

شہاب کاظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle

Shehab Kazmi

ye nukta zehn mein rakhna kisi ilzam se pahle
tumhaara nam aaega hamare nam se pahle

nazar aa jaenge ahbab bhi mushkil to paDne do
nazar aate hain kab tare sawad-e-sham se pahle

agar ai mohtasib kaTTar muwahhid hum nahin hote
KHuda ka nam kyon lete buton ke nam se pahle

yaqinan hum unhen pahle se baDh kar yaad aate hain
jabhi to nam bhi lete hain ab dushnam se pahle

agar nazd-e-KHuda ishq-e-butan achchha nahin hota
na karta ishq ko paida KHuda islam se pahle

kisi bulbul se jugnu ahd-e-nau ka chal diya kah kar
parinde lauT jate hain gharon ko sham se pahle

kahin aisa na ho KHauf-e-KHuda dil mein sama jae
jo karna ho wo kar lo bandish-e-ehram se pahle

butan-e-KHud-tarashida ki puja ho bhi sakti hai
magar fatwa to le lo mufti-e-islam se pahle

tahammul na-guzir-e-ishq aur hum itne be-sabre
fasana bhi nahin paDhte magar anjam se pahle

koi dil toDna ho ya koi masjid girana ho
kaha karte hain bismillah hum har kaam se pahle

'shahab' is daur mein yun doston se KHauf khate hain
Dara karte the jaise gardish-e-ayyam se pahle

(274) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle written by Shehab Kazmi at UrduPoint. Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle is one of the masterpieces written by Shehab Kazmi. You can also find the complete poetry collection of Shehab Kazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shehab Kazmi' above.

Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Nukta Zehn Mein Rakhna Kisi Ilzam Se Pahle, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.