Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin, Urdu Ghazal By Shola Kararvi

Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shola Kararvi. Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ارتباط باہمی شیخ و برہمن میں نہیں

شعلہ کراروی

ارتباط باہمی شیخ و برہمن میں نہیں

جو مزہ ہے مل کے رہنے میں وہ ان بن میں نہیں

نالہ سنجئ عنادل سے یہ چلتا ہے پتہ

نام کو بوئے وفا ارباب گلشن میں نہیں

دیر و کعبہ کی پرستش پھر بھلا کس کام کی

جب خلوص بندگی شیخ و برہمن میں نہیں

پھر کھٹکتے ہیں نگاہ باغباں میں کس لئے

خیر سے اب چار تنکے بھی نشیمن میں نہیں

عمر بھر مجھ کو جلا کے شمع و گل کیوں لائے اب

داغ دل کی روشنی کیا میرے مدفن میں نہیں

پھر تڑپ کر بار بار آتی ہے بجلی کس لئے

ایک تنکا بھی تو اب میرے نشیمن میں نہیں

اپنے دل کی آپ نے پہنائیاں دیکھیں کہاں

ایسی وسعت تو قیامت کے بھی دامن میں نہیں

ہاتھ سینے پر نہ رکھو ہو چکا قصہ تمام

اب کوئی آواز میرے دل کی دھڑکن میں نہیں

ہیں سبق آموز اوراق کتاب گل مگر

جز فریب رنگ و بو کچھ ان کے دامن میں نہیں

دیکھ کر وہ زخم دل کی کرتی کیا بخیہ گری

نور کا ڈورا سواد چشم سوزن میں نہیں

اس قدر پیسا زمانے نے مجھے شعلہؔ کہ اب

ایک دانہ بھی مری قسمت کا خرمن میں نہیں

شعلہ کراروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin

Shola Kararvi

irtibaat-e-bahami shaiKH-o-barahman mein nahin
jo maza hai mil ke rahne mein wo an-ban mein nahin

nala-sanji-e-anadil se ye chalta hai pata
nam ko bu-e-wafa arbab-e-gulshan mein nahin

dair-o-kaba ki parastish phir bhala kis kaam ki
jab KHulus-e-bandagi shaiKH-o-barahman mein nahin

phir khaTakte hain nigah-e-baghban mein kis liye
KHair se ab chaar tinke bhi nasheman mein nahin

umr bhar mujh ko jala ke sham-o-gul kyun lae ab
dagh-e-dil ki raushni kya mere madfan mein nahin

phir taDap kar bar bar aati hai bijli kis liye
ek tinka bhi to ab mere nasheman mein nahin

apne dil ki aap ne pahnaiyan dekhin kahan
aisi wusat to qayamat ke bhi daman mein nahin

hath sine par na rakkho ho chuka qissa tamam
ab koi aawaz mere dil ki dhaDkan mein nahin

hain sabaq-amoz auraq-e-kitab-e-gul magar
juz fareb-e-rang-o-bu kuchh un ke daman mein nahin

dekh kar wo zaKHm-e-dil ki karti kya baKHiya-gari
nur ka Dora sawad-e-chashm-e-sozan mein nahin

is qadar pisa zamane ne mujhe 'shoala' ki ab
ek dana bhi meri qismat ka KHirman mein nahin

(327) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin written by Shola Kararvi at UrduPoint. Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin is one of the masterpieces written by Shola Kararvi. You can also find the complete poetry collection of Shola Kararvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shola Kararvi' above.

Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Irtibaat-e-bahami ShaiKH-o-barahman Mein Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.