Iqbaal Se Ham-kalami, Urdu Nazam By Shorish Kashmiri

Iqbaal Se Ham-kalami is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shorish Kashmiri. Iqbaal Se Ham-kalami comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Iqbaal Se Ham-kalami on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اقبال سے ہم کلامی

شورش کاشمیری

کل اذان صبح سے پہلے فضائے قدس میں

میں نے دیکھا کچھ شناسا صورتیں ہیں ہم نشیں

تھے حکیم شرق سے شیخ مجدد ہم کلام

گوش بر آواز سب دانش وران علم و دیں

بوالکلام آزاد سے غالبؔ تھے مصروف سخن

میرؔ و مومنؔ دور حاضر کی غزل پہ نکتہ چیں

اس سے کچھ ہٹ کر گلابی شاخچوں کی چھاؤں میں

تھے ولی اللہ کے فرزند نکتہ آفریں

ایستادہ سرو کے سائے میں تھے مولائے روم

جن کے فرمودات میں مضمر ہیں آیات مبیں

سوچ میں ڈوبے ہوئے تھے حالیٔؔ درویش خو

باندھ کر بیٹھے حلقہ شبلیٔؔ عہد آفریں

میں نے بڑھ کر مرشد اقبال سے یہ عرض کی

آپ کو ہم تیرہ بختوں کی خبر ہے یا نہیں

دل شکستہ ہو کے فرمایا مجھے معلوم ہے

بے ید بیضا ہے پیران حرم کی آستیں

سلطنت لے کر خدا و مصطفی کے نام پر

اب خدا و مصطفی کی راہ پر کوئی نہیں

ہے ابھی شہباز کی غیرت پر کرگس خندہ زن

''ہے وہی سرمایہ داری بندۂ مومن کا دیں''

اس سے بڑھ کر اور کیا فکر و عمل کا انقلاب

''پادشاہوں کی نہیں اللہ کی ہے یہ زمیں''

کون سمجھائے اندھیری رات کو آئین مہر

وائے بد بختی کہ خود مومن ہے محروم یقیں

خون دے کر خانۂ صیاد کو روشن کرو

جاؤ مشرق کے خراب آباد کو روشن کرو

شورش کاشمیری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Iqbaal Se Ham-kalami

Shorish Kashmiri

kal azan-e-subh se pahle faza-e-quds mein
main ne dekha kuchh shanasa suraten hain ham-nashin
the hakim-e-sharq se shaiKH-e-mujaddid ham-kalam
gosh-bar-awaz sab danish-waran-e-ilm-o-din
bul-kalam-'azad' se 'ghaalib' the masruf-e-suKHan
'mir' o 'momin' daur-e-hazir ki ghazal pe nukta-chin
is se kuchh haT kar gulabi shaKH-chon ki chhanw mein
the waliullah ke farzand nukta-afrin
istada sarw ke sae mein the maula-e-rum
jin ke farmudat mein muzmar hain aayat-e-mubin
soch mein Dube hue the 'haali'-e-darwesh-KHu
bandh kar baiThe halqa shibli-e-ahd-afrin
main ne baDh kar murshid-e-iqbaal se ye arz ki
aap ko hum tira-baKHton ki KHabar hai ya nahin
dil-shikasta ho ke farmaya mujhe malum hai
be-yad-e-baiza hai piran-e-haram ki aastin
saltanat le kar KHuda o mustafa ke nam par
ab KHuda o mustafa ki rah par koi nahin
hai abhi shahbaz ki ghairat par kargas KHanda-zan
hai wahi sarmaya-dari banda-e-momin ka din
is se baDh kar aur kya fikr o amal ka inqalab
padshahon ki nahin allah ki hai ye zamin
kaun samjhae andheri raat ko aain-e-mahr
wae bad-baKHti ki KHud momin hai mahrum-e-yaqin
KHun de kar KHana-e-sayyaad ko raushan karo
jao mashriq ke KHarab-abaad ko raushan karo

(541) ووٹ وصول ہوئے

You can read Iqbaal Se Ham-kalami written by Shorish Kashmiri at UrduPoint. Iqbaal Se Ham-kalami is one of the masterpieces written by Shorish Kashmiri. You can also find the complete poetry collection of Shorish Kashmiri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shorish Kashmiri' above.

Iqbaal Se Ham-kalami is a widely read Urdu Nazam. If you like Iqbaal Se Ham-kalami, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.