Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai, Urdu Ghazal By Shumama Ufuq

Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shumama Ufuq. Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ستارہ ہو کہ آنسو بس چمک ہے

شمامہ افق

ستارہ ہو کہ آنسو بس چمک ہے

لگا لے شرط مجھ سے جس کو شک ہے

کہاں تک آپ کو جانا ہے کہیے

نظر کا راستہ تو دل تلک ہے

تلاطم خیز کر دے ان کی دھڑکن

مری چوڑی میں ایسی بھی کھنک ہے

محبت سے اسے منسوب مت کر

مرے لہجے میں جو تھوڑی لچک ہے

میں اتنی دور بھی تم سے نہیں ہوں

ہمارے درمیاں کچھ ہے تو شک ہے

شمامہ افق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai

Shumama Ufuq

sitara ho ki aansu bas chamak hai
laga le shart mujh se jis ko shak hai

kahan tak aap ko jaana hai kahiye
nazar ka rasta to dil talak hai

talatum KHez kar de un ki dhaDkan
meri chuDi mein aisi bhi khanak hai

mohabbat se use mansub mat kar
mere lahje mein jo thoDi lachak hai

main itni dur bhi tum se nahin hun
hamare darmiyan kuchh hai to shak hai

(470) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai written by Shumama Ufuq at UrduPoint. Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai is one of the masterpieces written by Shumama Ufuq. You can also find the complete poetry collection of Shumama Ufuq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shumama Ufuq' above.

Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sitara Ho Ki Aansu Bas Chamak Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.