Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine, Urdu Ghazal By Suroor Ambalvi

Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Suroor Ambalvi. Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سنی ہے روشنی کے قتل کی جب سے خبر میں نے

سرور انبالوی

سنی ہے روشنی کے قتل کی جب سے خبر میں نے

چراغوں کی طرف دیکھا نہیں ہے لوٹ کر میں نے

فراز دار سے اپنوں کے چہرے خود ہی پہچانے

فقیہ شہر کو جانا نہیں ہے معتبر میں نے

بھلا سورج کی طرف کون دیکھے کس میں ہمت ہے

ترے چہرے پہ ڈالی ہی نہیں اب تک نظر میں نے

یقیناً آندھیوں نے آ لیا کونجوں کی ڈاروں کو

کہ خوں آلودہ دیکھے ہیں فضا میں بال و پر میں نے

تمہارے بعد میں نے پھر کسی کو بھی نہیں دیکھا

نہیں ہونے دیا آلودہ دامان نظر میں نے

ہزاروں آرزوئیں رہ گئیں گرد سفر ہو کر

سجا رکھی ہے پلکوں پہ وہی گرد سفر میں نے

دم رخصت مری پلکوں پہ دو قطرے تھے اشکوں کے

کیا ہے زندگانی کے سفر کو مختصر میں نے

میں اپنے گھر میں خود اپنوں سے بازی ہار بیٹھا ہوں

ابھی سیکھا نہیں اپنوں میں رہنے کا ہنر میں نے

سرور انبالویؔ اپنے ہی دل میں اس کو پایا ہے

جسے اک عمر تک آواز دی ہے در بدر میں نے

سرور انبالوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine

Suroor Ambalvi

suni hai raushni ke qatl ki jab se KHabar main ne
charaghon ki taraf dekha nahin hai lauT kar main ne

faraaz-e-dar se apnon ke chehre KHud hi pahchane
faqih-e-shahr ko jaana nahin hai mo'tabar main ne

bhala suraj ki tarf kaun dekhe kis mein himmat hai
tere chehre pe Dali hi nahin ab tak nazar main ne

yaqinan aandhiyon ne aa liya kunjon ki Daron ko
ki KHun-aluda dekhe hain faza mein baal-o-par main ne

tumhaare baad main ne phir kisi ko bhi nahin dekha
nahin hone diya aaluda daman-e-nazar main ne

hazaron aarzuen rah gain gard-e-safar ho kar
saja rakkhi hai palkon pe wahi gard-e-safar main ne

dam-e-ruKHsat meri palkon pe do qatre the ashkon ke
kiya hai zindagani ke safar ko muKHtasar main ne

main apne ghar mein KHud apnon se bazi haar baiTha hun
abhi sikha nahin apnon mein rahne ka hunar main ne

'surur-ambaalwi' apne hi dil mein us ko paya hai
jise ek umr tak aawaz di hai dar-ba-dar main ne

(393) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine written by Suroor Ambalvi at UrduPoint. Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine is one of the masterpieces written by Suroor Ambalvi. You can also find the complete poetry collection of Suroor Ambalvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Suroor Ambalvi' above.

Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine is a widely read Urdu Ghazal. If you like Suni Hai Raushni Ke Qatl Ki Jab Se KHabar Maine, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.