Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai, Urdu Ghazal By Syed Ahmed Shameem

Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Ahmed Shameem. Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ جانے کون ہے کیا ہے کہاں سے آیا ہے

سید احمد شمیم

نہ جانے کون ہے کیا ہے کہاں سے آیا ہے

وہ میرا عین ہے یا خواب ہے یا دھوکا ہے

نہ دیکھ وقت یوں مجھ کو یہ تیرا چہرہ ہے

جو شخص مجھ میں چھپا ہے وہ کتنا سادہ ہے

ہوا کے گھنگھرو ہیں ساکت تھکی تھکی ہے شام

اداسیوں کا ہر اک سمت جال پھیلا ہے

فضا میں اڑتے پرندوں نے پر سمیٹ لئے

نزول شام ہے اور راستہ اکیلا ہے

تمام کھیل ہوا دن ڈھلا چلو اب گھر

نہ جانے مجھ میں اترتا یہ درد کیسا ہے

سیاہ رات کا پنچھی ہے پنکھ پھیلائے

مگر دلوں میں بہت دور تک اجالا ہے

اسے بھی ساتھ نہ موج بلا تو لے جانا

یہیں پہ میرے سکوں کا جزیرہ ڈوبا ہے

گزشتہ زخموں کے ٹانکے مسکتے جاتے ہیں

کسی نے دور بہت دور سے پکارا ہے

شمیمؔ بیتی رتوں کی ہے چاندنی پھیلی

فصیل شب سے خیالوں کا چاند ابھرا ہے

سید احمد شمیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai

Syed Ahmed Shameem

na jaane kaun hai kya hai kahan se aaya hai
wo mera ain hai ya KHwab hai ya dhoka hai

na dekh waqt yun mujh ko ye tera chehra hai
jo shaKHs mujh mein chhupa hai wo kitna sada hai

hawa ke ghunghru hain sakit thaki thaki hai sham
udasiyon ka har ek samt jal phaila hai

faza mein uDte parindon ne par sameT liye
nuzul-e-sham hai aur rasta akela hai

tamam khel hua din Dhala chalo ab ghar
na jaane mujh mein utarta ye dard kaisa hai

siyah raat ka panchhi hai pankh phailae
magar dilon mein bahut dur tak ujala hai

use bhi sath na mauj-e-bala to le jaana
yahin pe mere sakun ka jazira Duba hai

guzishta zaKHmon ke Tanke masakte jate hain
kisi ne dur bahut dur se pukara hai

'shamim' biti ruton ki hai chandni phaili
fasil-e-shab se KHayalon ka chand ubhra hai

(382) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai written by Syed Ahmed Shameem at UrduPoint. Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai is one of the masterpieces written by Syed Ahmed Shameem. You can also find the complete poetry collection of Syed Ahmed Shameem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Ahmed Shameem' above.

Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Jaane Kaun Hai Kya Hai Kahan Se Aaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.