Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai, Urdu Ghazal By Syed Fakhruddin Balley

Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Fakhruddin Balley. Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گزر چکی ہے جو شب اضطراب کیسا ہے

سید فخر الدین بلے

گزر چکی ہے جو شب اضطراب کیسا ہے

افق پہ ہوش ربا التہاب کیسا ہے

وجودیت کا یہ رنگیں سراب کیسا ہے

ہر ایک چہرے پہ مبہم نقاب کیسا ہے

رہیں گے مرحلے تعزیر کے جو مر کر بھی

یہ زندگی کا مسلسل عذاب کیسا ہے

خدا ہی جانے کہ دن میں طویل رات کے بعد

ہیں شب گزیدہ جو سب احتساب کیسا ہے

وہ حال پوچھنے آئے تو میں خموش رہا

سوال خوب تھا لیکن جواب کیسا ہے

کتاب لاکھ پرانی سہی مگر اس پر

چھپا ہے اب جو نیا انتساب کیسا ہے

ہے معرفت کا سفر آگہی سے حیرت تک

مراجعت کا جو ہو ارتکاب کیسا ہے

وطائے کاہکشاں پر زمیں کے بارے میں

جو بھیگی آنکھوں نے دیکھا وہ خواب کیسا ہے

میں جانتا ہوں مگر تو بھی آئنہ لے کر

مجھے بتا کہ مرا انتخاب کیسا ہے

سید فخر الدین بلے

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai

Syed Fakhruddin Balley

guzar chuki hai jo shab iztirab kaisa hai
ufuq pe hosh-ruba iltihab kaisa hai

wajudiyat ka ye rangin sarab kaisa hai
har ek chehre pe mubham naqab kaisa hai

rahenge marhale tazir ke jo mar kar bhi
ye zindagi ka musalsal azab kaisa hai

KHuda hi jaane ki din mein tawil raat ke baad
hain shab-gazida jo sab ehtisab kaisa hai

wo haal puchhne aae to main KHamosh raha
sawal KHub tha lekin jawab kaisa hai

kitab lakh purani sahi magar is par
chhapa hai ab jo naya intisab kaisa hai

hai marifat ka safar aagahi se hairat tak
murajat ka jo ho irtikab kaisa hai

wita-e-kahkashan par zamin ke bare mein
jo bhigi aankhon ne dekha wo KHwab kaisa hai

main jaanta hun magar tu bhi aaina le kar
mujhe bata ki mera intiKHab kaisa hai

(353) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai written by Syed Fakhruddin Balley at UrduPoint. Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai is one of the masterpieces written by Syed Fakhruddin Balley. You can also find the complete poetry collection of Syed Fakhruddin Balley by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Fakhruddin Balley' above.

Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Guzar Chuki Hai Jo Shab Iztirab Kaisa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.