Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi, Urdu Ghazal By Syed Hamid

Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Hamid. Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مسرت میں بھی ہے پنہاں الم یوں بھی ہے اور یوں بھی

سید حامد

مسرت میں بھی ہے پنہاں الم یوں بھی ہے اور یوں بھی

سرود زندگی میں زیر و بم یوں بھی ہے اور یوں بھی

غموں سے ہے گریباں میں اطاعت کا گلا کیوں ہو

دو گونہ بار ہے سر پر وہ خم یوں بھی ہے اور یوں بھی

طریق خسروی بھی ہے کنایہ ہے کہ مہ ہم ہیں

انہیں زیبا ہے ہم کہنا یہ ہم یوں بھی ہے اور یوں بھی

کمر کی جستجو سے کیا دہن کی آرزو کیوں ہو

محبت کے مراحل میں عدم یوں بھی ہے اور یوں بھی

لگی ہیں موت پر آنکھیں مگر ہے دید کی حسرت

یہ وقت نزع ہے آنکھوں میں دم یوں بھی ہے اور یوں بھی

قسم کھائی ہے الفت کی خدا رکھے اسے قائم

پھنسی ہے جان مشکل میں قسم یوں بھی ہے اور یوں بھی

تری دریا دلی ساقی ہماری تشنہ کامی سے

خجل کیسے نہ ہو مینا میں کم یوں بھی ہے اور یوں بھی

حسیں جیسے کوئی مورت ہو دل رکھتا ہے پتھر کا

وہ کافر کیوں برا مانے صنم یوں بھی ہے اور یوں بھی

مسرت میں دل حرماں زدہ کو خوف ہے غم کا

نہیں ممکن مفر غم سے کہ غم یوں بھی ہے اور یوں بھی

کریں مشق تغافل یا جفائیں آپ فرمائیں

یہاں تسلیم کی خو سے کرم یوں بھی ہے اور یوں بھی

ندامت ہے جفاؤں پر شکایت پر عتاب ان کو

جبیں کا حال کیا کہئے کہ نم یوں بھی ہے اور یوں بھی

مغاں سے اس کو الفت ہے عیاں چہرہ سے وحشت ہے

کوئی خادم سے کیا پوچھے عجم یوں بھی ہے اور یوں بھی

سید حامد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi

Syed Hamid

masarrat mein bhi hai pinhan alam yun bhi hai aur yun bhi
surud-e-zindagi mein zer-o-bam yun bhi hai aur yun bhi

ghamon se hai gareban mein itaat ka gila kyun ho
do guna bar hai sar par wo KHam yun bhi hai aur yun bhi

tariq-e-KHusrawi bhi hai kinaya hai ki mah hum hain
unhen zeba hai hum kahna ye hum yun bhi hai aur yun bhi

kamar ki justuju se kya dahan ki aarzu kyun ho
mohabbat ke marahil mein adam yun bhi hai aur yun bhi

lagi hain maut par aankhen magar hai did ki hasrat
ye waqt-e-naza hai aankhon mein dam yun bhi hai aur yun bhi

qasam khai hai ulfat ki KHuda rakkhe use qaem
phansi hai jaan mushkil mein qasam yun bhi hai aur yun bhi

teri dariya-dili saqi hamari tishna-kaami se
KHajil kaise na ho mina mein kam yun bhi hai aur yun bhi

hasin jaise koi murat ho dil rakhta hai patthar ka
wo kafir kyun bura mane sanam yun bhi hai aur yun bhi

masarrat mein dil-e-hirman-zada ko KHauf hai gham ka
nahin mumkin mafar gham se ki gham yun bhi hai aur yun bhi

karen mashq-e-taghaful ya jafaen aap farmaen
yahan taslim ki KHu se karam yun bhi hai aur yun bhi

nadamat hai jafaon par shikayat par itab un ko
jabin ka haal kya kahiye ki nam yun bhi hai aur yun bhi

mughan se is ko ulfat hai ayan chehre se wahshat hai
koi KHadim se kya puchhe ajam yun bhi hai aur yun bhi

(536) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi written by Syed Hamid at UrduPoint. Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi is one of the masterpieces written by Syed Hamid. You can also find the complete poetry collection of Syed Hamid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Hamid' above.

Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Masarrat Mein Bhi Hai Pinhan Alam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.