Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai, Urdu Ghazal By Syed Hamid

Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Hamid. Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فرد کو عصر کی رفتار لیے پھرتی ہے

سید حامد

فرد کو عصر کی رفتار لیے پھرتی ہے

جنس کو گرمئ بازار لیے پھرتی ہے

پر پرواز سے انکار نہیں ہے لیکن

کیجیئے غور تو منقار لیے پھرتی ہے

اس کی قسمت میں رسائی نہ سہی عاشق کو

حسرت لذت اظہار لیے پھرتی ہے

طالب علم کو ادراک فضیلت کے بجائے

خواہش طرہ و دستار لیے پھرتی ہے

دونوں ٹانگوں کا اشارہ ہے کہ گردش ہم کو

ہر طرف صورت پرکار لیے پھرتی ہے

ایک لمحہ کے لیے بھی نہیں ملتا ہے سکوں

گردش گنبد دوار لیے پھرتی ہے

ہتھکڑی جیسے لگاتے ہیں اسیروں کو وہ زلف

کر کے حلقے میں گرفتار لیے پھرتی ہے

طوف میں فرط طرب سے ہے زمیں چرخ زناں

سایۂ گیسو و رخسار لیے پھرتی ہے

جسم کے بوجھ کو آغاز سے انجام تلک

گرچہ ہے روح گراں بار لیے پھرتی ہے

اس کو ٹھہرائے ہوئے قصر بقا کی بنیاد

زندگی سانس کا اک تار لیے پھرتی ہے

سید حامد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai

Syed Hamid

fard ko asr ki raftar liye phirti hai
jins ko garmi-e-bazar liye phirti hai

par-e-parwaz se inkar nahin hai lekin
kijiye ghaur to minqar liye phirti hai

us ki qismat mein rasai na sahi aashiq ko
hasrat-e-lazzat-e-izhaar liye phirti hai

talib-e-ilm ko idrak-e-fazilat ke bajae
KHwahish-e-turra-o-dastar liye phirti hai

donon Tangon ka ishaara hai ki gardish hum ko
har taraf surat-e-parkar liye phirti hai

ek lamhe ke liye bhi nahin milta hai sukun
gardish-e-gumbad-e-dawwar liye phirti hai

hathkaDi jaise lagate hain asiron ko wo zulf
kar ke halqe mein giraftar liye phirti hai

tauf mein fart-e-tarab se hai zamin charKH-e-zanan
saya-e-gesu-o-ruKHsar liye phirti hai

jism ke bojh ko aaghaz se anjam talak
garche hai ruh giran-bar liye phirti hai

is ko Thahrae hue qasr-e-baqa ki buniyaad
zindagi sans ka ek tar liye phirti hai

(364) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai written by Syed Hamid at UrduPoint. Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai is one of the masterpieces written by Syed Hamid. You can also find the complete poetry collection of Syed Hamid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Hamid' above.

Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fard Ko Asr Ki Raftar Liye Phirti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.