Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke, Urdu Ghazal By Syed Masood Hasan Masood

Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Masood Hasan Masood. Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر دل سے نمایاں ہیں آثار محبت کے

سید مسعود حسن مسعود

ہر دل سے نمایاں ہیں آثار محبت کے

مشتاق ہیں آئینے لاکھوں تری صورت کے

مستغنیٔ دنیا ہیں محتاج عنایت کے

حشمت کے نہیں طالب خواہاں نہیں عزت کے

شمشیر تغافل سے دل کے نہ کرو ٹکڑے

کھل جائیں گے دنیا پر اسرار محبت کے

دیکھی نہ گئی اہل عصیاں کی پریشانی

قربان ترحم کے صدقے تری رحمت کے

اک قصۂ پارینہ ہے قیس کا افسانہ

دھندلے نہ ہوں کیوں ذرے صحرائے محبت کے

آلام و مصائب ہیں مونس شب تنہائی

ممنون ہوں ہم کہئے کس کس کی عنایت کے

نیرنگیٔ الفت نے ڈالا ہے کشاکش میں

جیتے ہیں نہ مرتے ہیں بیمار محبت کے

یوسف کی زلیخا پر کیا خاک نظر پڑتی

تھے دیدۂ بینا میں جلوے تری قدرت کے

اظہار تغافل بھی خواہان ادب نکلا

کرنا تھا گلہ ہم کو پردے میں محبت کے

پہلو نظر آتے ہیں یہ طرفہ تماشا ہے

اقرار محبت میں انکار محبت کے

وہ آئے جو تربت پر تو حشر بپا ہوگا

آئیں گے نظر ہم کو آثار قیامت کے

مسعودؔ حسینوں کو دل میں نہ جگہ دینا

کچھ دیر نہیں لگتی آنے میں طبیعت کے

سید مسعود حسن مسعود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke

Syed Masood Hasan Masood

har dil se numayan hain aasar mohabbat ke
mushtaq hain aaine lakhon teri surat ke

mustaghni-e-duniya hain muhtaj inayat ke
hashmat ke nahin talib KHwahan nahin izzat ke

shamshir-e-taghaful se dil ke na karo TukDe
khul jaenge duniya par asrar mohabbat ke

dekhi na gai ahl-e-isyan ki pareshani
qurban tarahhum ke sadqe teri rahmat ke

ek qissa-e-parina hai qais ka afsana
dhundle na hon kyon zarre sahra-e-mohabbat ke

aalam-o-masaib hain monis shab-e-tanhai
mamnun hon hum kahiye kis kis ki inayat ke

nairangi-e-ulfat ne Dala hai kashakash mein
jite hain na marte hain bimar mohabbat ke

yusuf ki zuleKHa par kya KHak nazar paDti
the dida-e-bina mein jalwe teri qudrat ke

izhaar-e-taghaful bhi KHwahan-e-adab nikla
karna tha gila hum ko parde mein mohabbat ke

pahlu nazar aate hain ye turfa-tamasha hai
iqrar-e-mohabbat mein inkar-e-mohabbat ke

wo aae jo turbat par to hashr bapa hoga
aaenge nazar hum ko aasar qayamat ke

'masud' hasinon ko dil mein na jagah dena
kuchh der nahin lagti aane mein tabiat ke

(454) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke written by Syed Masood Hasan Masood at UrduPoint. Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke is one of the masterpieces written by Syed Masood Hasan Masood. You can also find the complete poetry collection of Syed Masood Hasan Masood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Masood Hasan Masood' above.

Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Dil Se Numayan Hain Aasar Mohabbat Ke, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.