Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain, Urdu Ghazal By Syed Musa Kazim

Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Musa Kazim. Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس طرح سنگ میں شہکار بھی رہ سکتے ہیں

سید موسیٰ کاظم

جس طرح سنگ میں شہکار بھی رہ سکتے ہیں

اس طرح ہم پس دیوار بھی رہ سکتے ہیں

تیرے آنے سے خوشی لوٹ بھی سکتی ہے مگر

اور کچھ ہجر کے آثار بھی رہ سکتے ہیں

عدلیہ عدل کے معیار سے گر سکتی ہے

قید میں صاحب کردار بھی رہ سکتے ہیں

ہم فقیروں میں کہاں ہے کوئی تفریق کی بات

ہم فقیروں میں تو سردار بھی رہ سکتے ہیں

کچھ گھڑی دور تو رہ میری تڑپ کی خاطر

ورنہ ہم قرب سے بیزار بھی رہ سکتے ہیں

یہ سیاست ہے یہاں سب کو جگہ ملتی ہے

مولوی فوجی و فن کار بھی رہ سکتے ہیں

آپ چاہیں تو ہمیں چھوڑ دیں چلتے چلتے

آپ چاہیں تو وفادار بھی رہ سکتے ہیں

یہ ضروری تو نہیں سامنے آ کر کھیلیں

کچھ کھلاڑی پس دربار بھی رہ سکتے ہیں

دیکھنے والوں نے محدود کیا ہے موسیٰؔ

ورنہ ہم طور کے اس پار بھی رہ سکتے ہیں

سید موسیٰ کاظم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain

Syed Musa Kazim

jis tarah sang mein shahkar bhi rah sakte hain
us tarah hum pas-e-diwar bhi rah sakte hain

tere aane se KHushi lauT bhi sakti hai magar
aur kuchh hijr ke aasar bhi rah sakte hain

adliya adl ke mear se gir sakti hai
qaid mein sahib-e-kirdar bhi rah sakte hain

hum faqiron mein kahan hai koi tafriq ki baat
hum faqiron mein to sardar bhi rah sakte hain

kuchh ghaDi dur to rah meri taDap ki KHatir
warna hum qurb se bezar bhi rah sakte hain

ye siyasat hai yahan sab ko jagah milti hai
maulwi fauji-o-fankar bhi rah sakte hain

aap chahen to hamein chhoD den chalte chalte
aap chahen to wafadar bhi rah sakte hain

ye zaruri to nahin samne aa kar khelen
kuchh khilaDi pas-e-darbar bhi rah sakte hain

dekhne walon ne mahdud kiya hai 'musa'
warna hum tur ke us par bhi rah sakte hain

(231) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain written by Syed Musa Kazim at UrduPoint. Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain is one of the masterpieces written by Syed Musa Kazim. You can also find the complete poetry collection of Syed Musa Kazim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Musa Kazim' above.

Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Tarah Sang Mein Shahkar Bhi Rah Sakte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.