Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein, Urdu Ghazal By Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi. Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میری نگہ میں یار میں اس کی نگاہ میں

سید نظیر حسن سخا دہلوی

میری نگہ میں یار میں اس کی نگاہ میں

ذرہ میں ماہتاب ہے ذرہ ہے ماہ میں

دل میں ہے دود آہ تو دل دود آہ میں

ابر سیاہ گھر میں گھر ابر سیاہ میں

ایسا کیا ہے فوج حوادث کا سامنا

حیرت میں ہے سپاہ تو حیرت سپاہ میں

پھیلی ہوئی ہے زلف کہ چھائی ہوئی گھٹا

ابر سیاہ تم میں تم ابر سیاہ میں

غم میں خوشی ہے اور خوشی میں نہاں ہے غم

مضمر ہے آہ واہ میں اور واہ آہ میں

کیا دیکھتا ہے مجھ کو سراپا ہوں چشم شوق

میری نگاہ تجھ پہ تو میری نگاہ میں

الشیخ وقت کیا یہ ہمارا قصور ہے

لذت میں ہے گناہ تو لذت گناہ میں

میری نظر میں تم ہو تمہاری نظر میں میں

میری نگہ میں تم میں تمہاری نگاہ میں

شکوہ میں شکر شکر میں شکوہ ملا ہوا

یہ آہ میری راہ میں اور واہ آہ میں

میں اس کا صید حسن وہ میرا شکار عشق

اس کی نگاہ مجھ پہ وہ میری نگاہ میں

دل تم میں اور دل میں تم اللہ رے نصیب

شہہ مسکن گدا میں گدا قصر شاہ میں

دل بزم یار میں ہے تو دل میں ہے بزم یار

مجھ میں ہے جلوہ گاہ تو میں جلوہ گاہ میں

سر اور کلاہ دونوں سخاؔ بے ثبات ہیں

دم میں کلاہ سر پہ نہ سر ہے کلاہ میں

سید نظیر حسن سخا دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

meri nigah mein yar main us ki nigah mein
zarre mein mahtab hai zarra hai mah mein

dil mein hai dud aah to dil dud-e-ah mein
abr-e-siyah ghar mein ghar abr-e-siyah mein

aisa kiya hai fauj-e-hawadis ka samna
hairat mein hai sipah to hairat sipah mein

phaili hui hai zulf ki chhai hui ghaTa
abr-e-siyah tum mein tum abr-e-siyah mein

gham mein KHushi hai aur KHushi mein nihan hai gham
muzmar hai aah wah mein aur wah aah mein

kya dekhta hai mujh ko sarapa hun chashm-e-shauq
meri nigah tujh pe tu meri nigah mein

ashshaiKH waqt kya ye hamara qusur hai
lazzat mein hai gunah to lazzat gunah mein

meri nazar mein tum ho tumhaari nazar mein main
meri nigah mein tum main tumhaari nigah mein

shikwe mein shukr shukr mein shikwa mila hua
ye aah meri rah mein aur wah aah mein

main us ka said-e-husn wo mera shikar-e-ishq
us ki nigah mujh pe wo meri nigah mein

dil tum mein aur dil mein tum allah re nasib
shah maskan-e-gada mein gada qasr-e-shah mein

dil bazm-e-yar mein hai to dil mein hai bazm-e-yar
mujh mein hai jalwa-gah to main jalwa-gah mein

sar aur kulah donon 'saKHa' be-sabaat hain
dam mein kulah sar pe na sar hai kulah mein

(416) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein written by Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi at UrduPoint. Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein is one of the masterpieces written by Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi' above.

Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.