Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai, Urdu Ghazal By Tabeeb Arvi

Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tabeeb Arvi. Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ دم باقی ہے آنکھوں میں نہ دل میں جان باقی ہے

طبیب آروی

نہ دم باقی ہے آنکھوں میں نہ دل میں جان باقی ہے

مگر دونوں میں تیری دید کا ارمان باقی ہے

ہوئی حاصل سبکدوشی نہ قاتل سر کٹانے سے

کہ گردن پر مری شمشیر کا احسان باقی ہے

نہ رک جانا اڑا کر دھجیاں میرے گریباں کی

ابھی دست جنوں اس شوخ کا دامان باقی ہے

دھواں بھی قبر سے اٹھا تو بل کھاتا ہوا اٹھا

تری خم دار زلفوں کا جو اب تک دھیان باقی ہے

تمہارے روئے روشن سے ہے بزم حسن کی رونق

مرے دم سے جہاں میں عاشقی کی شان باقی ہے

دم مردن وہ آیا بھی تو آیا ساتھ غیروں کے

ستم گر کے کرم میں بھی ستم کی شان باقی ہے

پئے تسبیح پر گن گن کے ساغر آج واعظ نے

بوقت مے کشی بھی زہد کی اک شان باقی ہے

جو کاٹا تو نے میرا سر گرا تیرے ہی قدموں پر

ترے شیدا میں مر کر بھی وفا کی شان باقی ہے

تمنا آرزو ارمان سب تو ہو چکے رخصت

دل ویراں میں بس اک یاس اب مہمان باقی ہے

میرا سر کاٹ کر بولا وہ بسمل دیکھ کر مجھ کو

تڑپتے کیوں ہو کیا کچھ اور بھی ارمان باقی ہے

اگی نرگس جو تربت پر تو کس شوخی سے وہ بولے

ابھی تک گھورنے کا آپ کو ارمان باقی ہے

عبث تم روندتے ہو میری تربت خاک ہونے پر

اب اس میں استخواں تک بھی نہیں اے جان باقی ہے

فلک پر روح گر پہونچی تو تن زیر زمیں پہونچا

تلاش یار کا اب کون سا عنوان باقی ہے

طبیب آروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai

Tabeeb Arvi

na dam baqi hai aankhon mein na dil mein jaan baqi hai
magar donon mein teri did ka arman baqi hai

hui hasil subukdoshi na qatil sar kaTane se
ki gardan par meri shamshir ka ehsan baqi hai

na ruk jaana uDa kar dhajjiyan mere gareban ki
abhi dast-e-junun us shoKH ka daman baqi hai

dhuan bhi qabr se uTTha to bal khata hua uTTha
teri KHamdar zulfon ka jo ab tak dhyan baqi hai

tumhaare ru-e-raushan se hai bazm-e-husn ki raunaq
mere dam se jahan mein aashiqi ki shan baqi hai

dam-e-murdan wo aaya bhi to aaya sath ghairon ke
sitamgar ke karam mein bhi sitam ki shan baqi hai

piye tasbih par gin gin ke saghar aaj waiz ne
ba-waqt-e-mai-kashi bhi zohd ki ek shan baqi hai

jo kaTa tu ne mera sar gira tere hi qadmon par
tere shaida mein mar kar bhi wafa ki shan baqi hai

tamanna aarzu arman sab to ho chuke ruKHsat
dil-e-viran mein bas ek yas ab mehman baqi hai

mera sar kaT kar bola wo bismil dekh kar mujh ko
taDapte kyon ho kya kuchh aur bhi arman baqi hai

ugi nargis jo turbat par to kis shoKHi se wo bole
abhi tak ghurne ka aap ko arman baqi hai

abas tum raundte ho meri turbat KHak hone par
ab is mein ustuKHwan tak bhi nahin ai jaan baqi hai

falak par ruh gar pahunchi to tan zer-e-zamin pahuncha
talash-e-yar ka ab kaun sa unwan baqi hai

(259) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai written by Tabeeb Arvi at UrduPoint. Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai is one of the masterpieces written by Tabeeb Arvi. You can also find the complete poetry collection of Tabeeb Arvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tabeeb Arvi' above.

Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Dam Baqi Hai Aankhon Mein Na Dil Mein Jaan Baqi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.