Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain, Urdu Ghazal By Tabeeb Arvi

Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tabeeb Arvi. Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محفل یار میں اغیار رہا کرتے ہیں

طبیب آروی

محفل یار میں اغیار رہا کرتے ہیں

ایک ہم ہیں کہ جدائی میں جلا کرتے ہیں

مصحف رخ کی تلاوت میں رہا کرتے ہیں

بس اسی طرح سے ہم یاد خدا کرتے ہیں

نقش پا راہ میں ان کا نظر آئے کیونکر

خوب رو دیدۂ عاشق پہ جلا کرتے ہیں

نزع کا وقت جو آیا تو کہا ظالم نے

دیکھو اس طرح سے ہم وعدہ وفا کرتے ہیں

فتنۂ دہر ہیں سارے قد بالا والے

جس طرف جاتے ہیں اک حشر بپا کرتے ہیں

چشم مخمور کی مستی سے ہے مستی اپنی

نرگسیں جام میں ہم پھول پیا کرتے ہیں

مجھ سے ان سے جو ہوا کرتی ہیں باتیں سر بزم

شمع کی طرح سے اغیار جلا کرتے ہیں

نزع میں اس کو بلایا تو یہ کہلا بھیجا

چاہنے والے تو ہر روز مرا کرتے ہیں

داغ دے دے کے مجھے رحم اسے آیا آخر

پھول کر ہی شجر شوق پھلا کرتے ہیں

دل لگانے کا مزا خوب اٹھایا ہم نے

اک نیا روز ستم ان کا سہا کرتے ہیں

وار کوئی بھی تو پورا نہ پڑا او قاتل

زخم دل تیری نزاکت پہ ہنسا کرتے ہیں

ایک دن ان کو رلائے گی محبت میری

میرے رونے پہ جو شوخی سے ہنسا کرتے ہیں

شمع رو دیتی ہے پروانہ کے جلنے پہ مگر

وہ ہنسا کرتے ہیں عشاق جلا کرتے ہیں

کبھی آنکھوں کو بدل کر تو کبھی تیور سے

جور پر جور جفا پر وہ جفا کرتے ہیں

ان حسینوں کا تو انداز نرالا ہے طبیبؔ

ان کو جو چاہے اسی سے یہ دغا کرتے ہیں

طبیب آروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain

Tabeeb Arvi

mahfil-e-yar mein aghyar raha karte hain
ek hum hain ki judai mein jala karte hain

mushaf-e-ruKH ki tilawat mein raha karte hain
bas isi tarah se hum yaad-e-KHuda karte hain

naqsh-e-pa rah mein un ka nazar aae kyunkar
KHub-ru dida-e-ashiq pe jala karte hain

naza ka waqt jo aaya to kaha zalim ne
dekho is tarah se hum wada wafa karte hain

fitna-e-dahr hain sare qad-e-baala wale
jis taraf jate hain ek hashr bapa karte hain

chashm-e-maKHmur ki masti se hai masti apni
nargisin jam mein hum phul piya karte hain

mujh se un se jo hua karti hain baaten sar-e-bazm
shama ki tarah se aghyar jala karte hain

naza mein us ko bulaya to ye kahla bheja
chahne wale to har roz mara karte hain

dagh de de ke mujhe rahm use aaya aaKHir
phul kar hi shajar-e-shauq phala karte hain

dil lagane ka maza KHub uThaya hum ne
ek naya roz sitam un ka saha karte hain

war koi bhi to pura na paDa o qatil
zaKHm-e-dil teri nazakat pe hansa karte hain

ek din un ko rulaegi mohabbat meri
mere rone pe jo shoKHi se hansa karte hain

shama ro deti hai parwane ke jalne pe magar
wo hansa karte hain ushshaq jala karte hain

kabhi aankhon ko badal kar to kabhi tewar se
jaur par jaur jafa par wo jafa karte hain

in hasinon ka to andaz nirala hai 'tabib'
in ko jo chahe usi se ye dagha karte hain

(405) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain written by Tabeeb Arvi at UrduPoint. Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain is one of the masterpieces written by Tabeeb Arvi. You can also find the complete poetry collection of Tabeeb Arvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tabeeb Arvi' above.

Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mahfil-e-yar Mein Aghyar Raha Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.