Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo, Urdu Ghazal By Tahir Tilhari

Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tahir Tilhari. Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی تو سوغات اس کے شہر کی گھر لے چلو

طاہر تلہری

کوئی تو سوغات اس کے شہر کی گھر لے چلو

کچھ نہیں تو جسم پر زخموں کی چادر لے چلو

پیار کے بوسیدہ پھولوں کی یہاں قیمت نہیں

شیش محلوں سے گزرنا ہے تو پتھر لے چلو

ہوں گے ارباب تماشا میں کچھ اہل درد بھی

چند آنسو بھی تبسم میں چھپا کر لے چلو

رات جب بھیگی تو سائے نے مجھے آواز دی

میں ہی تنہائی کا ساتھی ہوں مجھے گھر لے چلو

جانے کیسے کیسے صحراؤں میں ہو اپنا گزر

دوستو آنکھوں میں اشکوں کا سمندر لے چلو

داد خواہی کو یہ تنہا زخم سر کافی نہیں

منصفوں کے پاس پتھر بھی اٹھا کر لے چلو

دیر سے صبحیں کھڑی ہیں در پہ آئینہ بدست

زندگی کو اب ذرا خوابوں سے باہر لے چلو

مجرم حق شہر میں میرے سوا کوئی نہیں

سنگ اندازوں کی بستی میں مرا سر لے چلو

رات اس کے لمس کی خوشبو نے چپکے سے کہا

یا یہیں رہ جاؤ تم بھی یا مجھے گھر لے چلو

طاہرؔ اپنے سر کسی کا یہ بھی کیوں احساں رہے

اپنی گردن کے لیے خود اپنا خنجر لے چلو

طاہر تلہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo

Tahir Tilhari

koi to saughat us ke shahr ki ghar le chalo
kuchh nahin to jism par zaKHmon ki chadar le chalo

pyar ke bosida phulon ki yahan qimat nahin
shish-mahlon se guzarna hai to patthar le chalo

honge arbab-e-tamasha mein kuchh ahl-e-dard bhi
chand aansu bhi tabassum mein chhupa kar le chalo

raat jab bhigi to sae ne mujhe aawaz di
main hi tanhai ka sathi hun mujhe ghar le chalo

jaane kaise kaise sahraon mein ho apna guzar
dosto aankhon mein ashkon ka samundar le chalo

dad-KHwahi ko ye tanha zaKHm-e-sar kafi nahin
munsifon ke pas patthar bhi uTha kar le chalo

der se subhen khaDi hain dar pe aaina-ba-dast
zindagi ko ab zara KHwabon se bahar le chalo

mujrim-e-haq shahr mein mere siwa koi nahin
sang-andazon ki basti mein mera sar le chalo

raat us ke lams ki KHushbu ne chupke se kaha
ya yahin rah jao tum bhi ya mujhe ghar le chalo

'tahir' apne sar kisi ka ye bhi kyon ehsan rahe
apni gardan ke liye KHud apna KHanjar le chalo

(295) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo written by Tahir Tilhari at UrduPoint. Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo is one of the masterpieces written by Tahir Tilhari. You can also find the complete poetry collection of Tahir Tilhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tahir Tilhari' above.

Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi To Saughat Uske Shahr Ki Ghar Le Chalo, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.