Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai, Urdu Ghazal By Takht Singh

Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Takht Singh. Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر اشک تری یاد کا نقش کف پا ہے

تخت سنگھ

ہر اشک تری یاد کا نقش کف پا ہے

ہر آہ ترے پاۓ تصور کی صدا ہے

ہر ذرہ میں ہر پھول میں آئینہ پڑا ہے

ہر سمت ترے عکس کا محشر سا بپا ہے

اک ان سنی آواز سی آتی ہے کہیں سے

اک پیکر موہوم سر دوش ہوا ہے

یوں جھیل میں ضو ریز ترا سایہ ہے مانو

پانی کی انگوٹھی میں نگینہ سا جڑا ہے

پابندیٔ آداب سے ہشیار کہ اس میں

ہر قہقہہ نوکا کی طرح ڈوب چکا ہے

رہتا تھا جہاں دل میں ترے پیار کا پنچھی

اس شاخ پر اب اجڑا ہوا گھونسلہ سا ہے

شاید یہی شعلہ حس باطل کی خبر لے

اے دوست سر دار دھواں سا تو اٹھا ہے

شاید میں سر چشمۂ انوار کھڑا ہوں

حیراں ہوں تا پائے نظر چاند سا کیا ہے

وہ رنگ تصور ہے کہ ہر ذرۂ جاں سے

اک اجنبی سا چہرہ مجھے گھور رہا ہے

کیوں پھیل چلا بزم تمنا میں دھواں سا

کیوں تیری محبت کا دیا بجھ سا گیا ہے

تخت سنگھ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai

Takht Singh

har ashk teri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
har aah tere pa-e-tasawwur ki sada hai

har zarra mein har phul mein aaina paDa hai
har samt tere aks ka mahshar sa bapa hai

ek an-suni aawaz si aati hai kahin se
ek paikar-e-mauhum sar-e-dosh-e-hawa hai

yun jhil mein zau-rez tera saya hai mano
pani ki anguThi mein nagina sa jaDa hai

pabandi-e-adab se hushiyar ki is mein
har qahqaha nauka ki tarah Dub chuka hai

rahta tha jahan dil mein tere pyar ka panchhi
us shaKH par ab ujDa hua ghonsla sa hai

shayad yahi shoala his-e-baatil ki KHabar le
ai dost sar-e-dar dhuan sa to uTha hai

shayad main sar-e-chashma-e-anwar khaDa hun
hairan hun ta pa-e-nazar chand sa kya hai

wo rang tasawwur hai ki har zarra-e-jaan se
ek ajnabi sa chehra mujhe ghur raha hai

kyun phail chala bazm-e-tamanna mein dhuan sa
kyun teri mohabbat ka diya bujh sa gaya hai

(408) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai written by Takht Singh at UrduPoint. Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai is one of the masterpieces written by Takht Singh. You can also find the complete poetry collection of Takht Singh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Takht Singh' above.

Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Ashk Teri Yaad Ka Naqsh-e-kaf-e-pa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.