Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas, Urdu Ghazal By Talat Siddiqui Nahtori

Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talat Siddiqui Nahtori. Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دشت غربت میں ہوئی وہ آبلہ پائی کہ بس

طلعت صدیقی نہٹوری

دشت غربت میں ہوئی وہ آبلہ پائی کہ بس

اور پھر کانٹوں نے کی ایسی مسیحائی کہ بس

رنگ وہ لایا مرا ذوق جبیں سائی کہ بس

آستان یار سے آخر ندا آئی کہ بس

جان لیوا یوں ہوئی راتوں کی تنہائی کہ بس

داستان درد و غم وہ دل نے دہرائی کہ بس

اللہ اللہ اہتمام جلوہ آرائی کہ بس

دیدۂ مشتاق کی ایسی پذیرائی کہ بس

مجھ پہ اپنوں کی ہوئیں ایسی کرم فرمائیاں

میری حالت پر وہ غیروں کو ہنسی آئی کہ بس

کوچۂ جاناں کی جانب جب کبھی اٹھے قدم

دور تک سمجھانے مجھ کو زندگی آئی کہ بس

تذکرہ ترک محبت کا کبھی جب آ گیا

ناصح مشفق نے وہ تقریر فرمائی کہ بس

صحن گلشن میں کیا تھا ذکر زلف یار کا

پاؤں میں سنبل نے وہ زنجیر پہنائی کہ بس

وجہ کچھ بے مہریٔ اہل وطن بھی ہے ضرور

ورنہ غربت مجھ کو کیوں اس درجہ راس آئی کہ بس

مے کشوں کے حال پر فطرت کو جب رحم آ گیا

مے کدے پر یک بیک ایسی گھٹا چھائی کہ بس

مانگتے تھے ہم خزاں کے ختم ہونے کی دعا

اس کے جانے پر چمن میں وہ بہار آئی کہ بس

جب شب غم رحم مرگ ناگہاں کو آ گیا

جاگنے والوں کو طلعتؔ ایسی نیند آئی کہ بس

طلعت صدیقی نہٹوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas

Talat Siddiqui Nahtori

dasht-e-ghurbat mein hui wo aabla-pai ki bas
aur phir kanTon ne ki aisi masihai ki bas

rang wo laya mera zauq-e-jabin-sai ki bas
aastan-e-yar se aaKHir nida aai ki bas

jaan-lewa yun hui raaton ki tanhai ki bas
dastan-e-dard-o-gham wo dil ne dohrai ki bas

allah allah ehtimam-e-jalwa-arai ki bas
dida-e-mushtaq ki aisi pazirai ki bas

mujh pe apnon ki huin aisi karam-farmaiyan
meri haalat par wo ghairon ko hansi aai ki bas

kucha-e-jaanan ki jaanib jab kabhi uTThe qadam
dur tak samjhane mujh ko zindagi aai ki bas

tazkira tark-e-mohabbat ka kabhi jab aa gaya
naseh-e-mushfiq ne wo taqrir farmai ki bas

sehn-e-gulshan mein kiya tha zikr zulf-e-yar ka
panw mein sumbul ne wo zanjir pahnai ki bas

wajah kuchh be-mehri-e-ahl-e-watan bhi hai zarur
warna ghurbat mujh ko kyon is darja ras aai ki bas

mai-kashon ke haal par fitrat ko jab rahm aa gaya
mai-kade par yak-ba-yak aisi ghaTa chhai ki bas

mangte the hum KHizan ke KHatm hone ki dua
us ke jaane par chaman mein wo bahaar aai ki bas

jab shab-e-gham rahm marg-e-na-gahan ko aa gaya
jagne walon ko 'talat' aisi nind aai ki bas

(456) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas written by Talat Siddiqui Nahtori at UrduPoint. Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas is one of the masterpieces written by Talat Siddiqui Nahtori. You can also find the complete poetry collection of Talat Siddiqui Nahtori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talat Siddiqui Nahtori' above.

Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dasht-e-ghurbat Mein Hui Wo Aabla-pai Ki Bas, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.