KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae, Urdu Ghazal By Talat Siddiqui Nahtori

KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talat Siddiqui Nahtori. KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خدا کی شان ہم پھر کوچۂ دل دار میں آئے

طلعت صدیقی نہٹوری

خدا کی شان ہم پھر کوچۂ دل دار میں آئے

خوشا قسمت کہ پھر ہم آج بزم یار میں آئے

کرے کوئی زلیخا قدردانی دیکھیے کب تک

وہ یوسف ہیں کہ بکنے مصر کے بازار میں آئے

طبیعت ہو چکی ہے سیر اپنی سیر گلشن سے

جنوں کی خیر ہو پھر وادیٔ پر خار میں آئے

بہت اکتا گئے صحرا کی تپتی دھوپ سے جب ہم

تو پھر آخر تمہارے سایۂ دیوار میں آئے

خزاں کے دور میں کیا سیر گلشن کے لیے آتے

گلوں پر جب بہار آئی تو ہم گل زار میں آئے

کسے کس نے بلایا کون آیا کس لئے آیا

مناسب ہے نہ اب یہ تذکرہ اغیار میں آئے

سزا کا مستحق ہونا زباں بندی سے بہتر ہے

صدائے حق کی خاطر جستجوئے دار میں آئے

تمہیں کو دیکھنے والے تھے ہم آخر کہاں جاتے

تمہارے در پہ آخر حسرت دیدار میں آئے

بیان امکان سے باہر ہے جذبات عقیدت کا

گزرتی ہے جو دل پر کس طرح اشعار میں آئے

اطاعت قوت باطل کی ہو جائے نہ اے طلعتؔ

کسی صورت نہ خم ہرگز سر خوددار میں آئے

طلعت صدیقی نہٹوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae

Talat Siddiqui Nahtori

KHuda ki shan hum phir kucha-e-dildar mein aae
KHusha-qismat ki phir hum aaj bazm-e-yar mein aae

kare koi zuleKHa qadrdani dekhiye kab tak
wo yusuf hain ki bikne misr ke bazar mein aae

tabiat ho chuki hai sair apni sair-e-gulshan se
junun ki KHair ho phir wadi-e-pur-KHar mein aae

bahut ukta gae sahra ki tapti dhup se jab hum
to phir aaKHir tumhaare saya-e-diwar mein aae

KHizan ke daur mein kya sair-e-gulshan ke liye aate
gulon par jab bahaar aai to hum gulzar mein aae

kise kis ne bulaya kaun aaya kis liye aaya
munasib hai na ab ye tazkira aghyar mein aae

saza ka mustahiq hona zaban-bandi se behtar hai
sada-e-haq ki KHatir justuju-e-dar mein aae

tumhin ko dekhne wale the hum aaKHir kahan jate
tumhaare dar pe aaKHir hasrat-e-didar mein aae

bayan imkan se bahar hai jazbaat-e-aqidat ka
guzarti hai jo dil par kis tarah ashaar mein aae

itaat quwwat-e-baatil ki ho jae na ai 'talat'
kisi surat na KHam hargiz sar-e-KHuddar mein aae

(325) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae written by Talat Siddiqui Nahtori at UrduPoint. KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae is one of the masterpieces written by Talat Siddiqui Nahtori. You can also find the complete poetry collection of Talat Siddiqui Nahtori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talat Siddiqui Nahtori' above.

KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHuda Ki Shan Hum Phir Kucha-e-dildar Mein Aae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.