Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai, Urdu Ghazal By Talib Dehlavi

Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Talib Dehlavi. Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اے کاشف اسرار بتا ہے کہ نہیں ہے

طالب دہلوی

اے کاشف اسرار بتا ہے کہ نہیں ہے

کہتے ہیں جسے لوگ خدا ہے کہ نہیں ہے

دنیا میں بھلائی کا صلہ ہے کہ نہیں ہے

انجام برائی کا برا ہے کہ نہیں ہے

محسوس تو ہوتا ہے دکھائی نہیں دیتا

اس سوچ میں ڈوبا ہوں خدا ہے کہ نہیں ہے

کیوں ہم کو ڈراتا ہے کوئی روز جزا سے

خود اپنی جگہ زیست سزا ہے کہ نہیں ہے

کیوں دست نگر خود کو سمجھتا ہے کسی کا

قبضے میں ترے دست دعا ہے کہ نہیں ہے

ہم سے بھی کبھی ربط تھا اے بھولنے والے

ظالم تجھے کچھ پاس وفا ہے کہ نہیں ہے

جی بھر کے سزا دے مگر اتنا تو بتا دے

نا کردہ گناہی کی جزا ہے کہ نہیں ہے

جو بھی نظر آتا ہے یہاں نذر فنا ہے

اے دوست فنا کو بھی فنا ہے کہ نہیں ہے

باطل کی پرستش جہاں ہوتی ہے شب و روز

حق بات کے کہنے کا مزا ہے کہ نہیں ہے

دنیا کا تجھے ڈر ہے بہت یہ مجھے تسلیم

کچھ دل میں ترے خوف خدا ہے کہ نہیں ہے

تو مے کی مذمت تو کیا کرتا ہے واعظ

یہ شے مگر اندوہ ربا ہے کہ نہیں ہے

انصاف سے لیں کام جنہیں ذوق سخن ہے

اسلوب مرا سب سے جدا ہے کہ نہیں ہے

طالبؔ تو یقیناً ہی تری ساری خدائی

لیکن کوئی راضی بہ رضا ہے کہ نہیں ہے

طالب دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai

Talib Dehlavi

ai kashif-e-asrar bata hai ki nahin hai
kahte hain jise log KHuda hai ki nahin hai

duniya mein bhalai ka sila hai ki nahin hai
anjam burai ka bura hai ki nahin hai

mahsus to hota hai dikhai nahin deta
is soch mein Duba hun KHuda hai ki nahin hai

kyun hum ko Daraata hai koi roz-e-jaza se
KHud apni jagah zist saza hai ki nahin hai

kyun dast-nigar KHud ko samajhta hai kisi ka
qabze mein tere dast-e-dua hai ki nahin hai

hum se bhi kabhi rabt tha ai bhulne wale
zalim tujhe kuchh pas-e-wafa hai ki nahin hai

ji bhar ke saza de magar itna to bata de
na-karda-gunahi ki jaza hai ki nahin hai

jo bhi nazar aata hai yahan nazr-e-fana hai
ai dost fana ko bhi fana hai ki nahin hai

baatil ki parastish jahan hoti hai shab-o-roz
haq baat ke kahne ka maza hai ki nahin hai

duniya ka tujhe Dar hai bahut ye mujhe taslim
kuchh dil mein tere KHauf-e-KHuda hai ki nahin hai

tu mai ki mazammat to kiya karta hai waiz
ye shai magar andoh-ruba hai ki nahin hai

insaf se len kaam jinhen zauq-e-suKHan hai
uslub mera sab se juda hai ki nahin hai

'talib' to yaqinan hi teri sari KHudai
lekin koi raazi-ba-raza hai ki nahin hai

(451) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai written by Talib Dehlavi at UrduPoint. Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai is one of the masterpieces written by Talib Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Talib Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Talib Dehlavi' above.

Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ai Kashif-e-asrar Bata Hai Ki Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.