Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon, Urdu Ghazal By Turab Akhtar Naqvi

Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Turab Akhtar Naqvi. Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قضا ہو سر پہ مگر زندگی کی باتیں ہوں

تراب اختر نقوی

قضا ہو سر پہ مگر زندگی کی باتیں ہوں

نہیں ہے عشق مگر عاشقی کی باتیں ہوں

چراغ کی طرح جلتے رہو زمانے میں

جہاں بھی جاؤ وہاں روشنی کی باتیں ہوں

تم اپنے دل کو منور کرو محبت سے

وہاں نہ بیٹھو جہاں تیرگی کی باتیں ہوں

ہم اپنے سارے غموں کو بھلا کے بیٹھے ہیں

ہمارے سامنے بس اب خوشی کی باتیں ہوں

حیات ایسی گزارو عمل کے میداں میں

تمہارے بعد فقط بندگی کی باتیں ہوں

ترابؔ ذوق سماعت نہیں ہے لوگوں میں

اب ان کے سامنے کیا شاعری کی باتیں ہوں

تراب اختر نقوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon

Turab Akhtar Naqvi

qaza ho sar pe magar zindagi ki baaten hon
nahin hai ishq magar aashiqi ki baaten hon

charagh ki tarah jalte raho zamane mein
jahan bhi jao wahan raushni ki baaten hon

tum apne dil ko munawwar karo mohabbat se
wahan na baiTho jahan tirgi ki baaten hon

hum apne sare ghamon ko bhula ke baiThe hain
hamare samne bas ab KHushi ki baaten hon

hayat aisi guzaro amal ke maidan mein
tumhaare baad faqat bandagi ki baaten hon

'turab' zauq-e-samaat nahin hai logon mein
ab un ke samne kya shairi ki baaten hon

(147) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon written by Turab Akhtar Naqvi at UrduPoint. Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon is one of the masterpieces written by Turab Akhtar Naqvi. You can also find the complete poetry collection of Turab Akhtar Naqvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Turab Akhtar Naqvi' above.

Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qaza Ho Sar Pe Magar Zindagi Ki Baaten Hon, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.