Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko, Urdu Ghazal By Usha Shafaq

Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Usha Shafaq. Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بنا گیا ہے بیاباں کا باغباں مجھ کو

اوشا شفق

بنا گیا ہے بیاباں کا باغباں مجھ کو

رلا گیا ہے ستم ظرف آسماں مجھ کو

ملے ہیں اشک رواں نالہ و فغاں فریاد

دیا ہے ہائے یہ سب تو نے مہرباں مجھ کو

دیا ہے تم نے ہی الزام بے وفائی کا

ستم ہے تم نے ہی سمجھا ہے بد گماں مجھ کو

میں مٹ گیا بھی تو میرا وجود قائم ہے

نہ سمجھے پھر کوئی بے نام و بے نشاں مجھ کو

نہ جانے کون سی شے سے چھوا گیا ہوں میں

کہ ڈھونڈھتی ہی رہی گرد کارواں مجھ کو

قفس نصیب ہوں تنہائی ہے اندھیرا ہے

ہر ایک سمت نظر آئے ہے دھواں مجھ کو

فنا کی زد سے ہوں باہر یہ جانتا ہوں میں

حیات مل گئی ہے جب کہ جاوداں مجھ کو

نہ جانے کیوں مرے نقش قدم سے نفرت تھی

مٹا کے رکھ دیا دیکھا جہاں جہاں مجھ کو

وہ گلستاں کہ جہاں جل گیا دل محزوں

پکارتا ہے وہاں اپنا آشیاں مجھ کو

بہار عزیز ہے وہ کہتے ہیں مگر مجھ کو

عزیز تر ہے شفقؔ موسم خزاں مجھ کو

اوشا شفق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko

Usha Shafaq

bana gaya hai bayaban ka baghban mujh ko
rula gaya hai sitam-zarf aasman mujh ko

mile hain ashk-e-rawan nala-o-fughan fariyaad
diya hai hae ye sab tu ne mehrban mujh ko

diya hai tum ne hi ilzam bewafai ka
sitam hai tum ne hi samjha hai bad-guman mujh ko

main miT gaya bhi to mera wajud qaem hai
na samjhe phir koi be-nam-o-be-nishan mujh ko

na jaane kaun si shai se chhua gaya hun main
ki DhunDhti hi rahi gard-e-karwan mujh ko

qafas nasib hun tanhai hai andhera hai
har ek samt nazar aae hai dhuan mujh ko

fana ki zad se hun bahar ye jaanta hun main
hayat mil gai hai jab ki jawedan mujh ko

na jaane kyon mere naqsh-e-qadam se nafrat thi
miTa ke rakh diya dekha jahan-jahan mujh ko

wo gulsitan ki jahan jal gaya dil-e-mahzun
pukarta hai wahan apna aashiyan mujh ko

bahaar aziz hai wo kahte hain magar mujh ko
aziz-tar hai 'shafaq' mausam-e-KHizan mujh ko

(262) ووٹ وصول ہوئے

You can read Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko written by Usha Shafaq at UrduPoint. Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko is one of the masterpieces written by Usha Shafaq. You can also find the complete poetry collection of Usha Shafaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Usha Shafaq' above.

Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bana Gaya Hai Bayaban Ka Baghban Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.