Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida, Urdu Ghazal By Ushba Tabeer

Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ushba Tabeer. Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہیں ہوں گی کبھی پھر آب دیدہ

عشبہ تعبیر

نہیں ہوں گی کبھی پھر آب دیدہ

کروں گی وسوسوں کو سر بریدہ

مخالف ہیں پس دیوار میرے

سر محفل جو پڑھتے ہیں قصیدہ

اٹھاؤں گی ہزاروں بوجھ تنہا

بھلے حالات جتنے ہوں کشیدہ

مصائب سے ہوئی ہے جاں خلاصی

مگر یہ دل ہے کیوں اتنا کبیدہ

چلو اب الوداع کہتے ہیں تم کو

عمل یہ ہے اگرچہ جاں گزیدہ

سکوں دوں گی میں تیرے ذہن و دل کو

سنا کر اپنی غزلیں چیدہ چیدہ

زمانے بھر کی نعمت اس نے پائی

ملے ہیں جس کو اوصاف حمیدہ

رفو گر ڈھونڈ لائے کوئی عشبہؔ

لیے پھرتے ہیں ہم دامن دریدہ

عشبہ تعبیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida

Ushba Tabeer

nahin hongi kabhi phir aabdida
karungi waswason ko sar-burida

muKHalif hain pas-e-diwar mere
sar-e-mahfil jo paDhte hain qasida

uThaungi hazaron bojh tanha
bhale haalat jitne hon kashida

masaib se hui hai jaan-KHalasi
magar ye dil hai kyon itna kabida

chalo ab alwidaa kahte hain tum ko
amal ye hai agarche jaan-gazida

sukun dungi main tere zehn-o-dil ko
suna kar apni ghazlen chida chida

zamane bhar ki neamat us ne pai
mile hain jis ko ausaf-e-hamida

rafu-gar DhunD lae koi 'ushba'
liye phirte hain hum daman-darida

(253) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida written by Ushba Tabeer at UrduPoint. Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida is one of the masterpieces written by Ushba Tabeer. You can also find the complete poetry collection of Ushba Tabeer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ushba Tabeer' above.

Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nahin Hongi Kabhi Phir Aabdida, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.