Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain, Urdu Ghazal By Abbas Ali Khan Bekhud

Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abbas Ali Khan Bekhud. Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے یہ تو خزاں نے روپ بھرا ہم جس کو بہاراں کہتے ہیں

عباس علی خاں بیخود

ہے یہ تو خزاں نے روپ بھرا ہم جس کو بہاراں کہتے ہیں

بس ایک نظر کا دھوکا ہے سب جس کو گلستاں کہتے ہیں

عزت بھی ہے دولت بھی پر آدمیت کا نام نہیں

ہم کس کو ہندو کہتے ہیں ہم کس کو مسلماں کہتے ہیں

کچھ دیر ہو تو ہم صبر کریں اندھیر نہیں دیکھا جاتا

ہے اپنے گھر میں آگ لگی سب جس کو چراغاں کہتے ہیں

اے ساتھ سفر کرنے والو ٹھہرو نہ یہاں آگے کو بڑھو

ہم جس کو منزل سمجھے ہیں سب بھول بھلیاں کہتے ہیں

جب عقل مجھے سمجھاتی ہے بے ہوش نہ ہو نادان نہ بن

دل سے غم جاناں کہتا ہے اس کو غم دوراں کہتے ہیں

ہیں دفن یہاں دولت والے طاقت والے عزت والے

قدرت کا دفینہ ہے جس کو ہم گور غریباں کہتے ہیں

پی غافل اب پرہیز نہ کر کچھ تلخ سہی کچھ تیز سہی

لے دے کہ یہی ہے ایک دوائے گردش دوراں کہتے ہیں

میخانے کے پھیرے کرتا ہے اب واعظ بیخودؔ سنتے ہیں

اس نے بھی شاید باندھ لیا پیمانے سے پیماں کہتے ہیں

عباس علی خاں بیخود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain

Abbas Ali Khan Bekhud

hai ye to KHizan ne rup bhara hum jis ko bahaaran kahte hain
bas ek nazar ka dhoka hai sab jis ko gulistan kahte hain

izzat bhi hai daulat bhi par aadamiyat ka nam nahin
hum kis ko hindu kahte hain hum kis ko musalman kahte hain

kuchh der ho to hum sabr karen andher nahin dekha jata
hai apne ghar mein aag lagi sab jis ko charaghan kahte hain

ai sath safar karne walo Thahro na yahan aage ko baDho
hum jis ko manzil samjhe hain sab bhul-bhulayyan kahte hain

jab aql mujhe samjhati hai behosh na ho nadan na ban
dil se gham-e-jaanan kahta hai us ko gham-e-dauran kahte hain

hain dafn yahan daulat wale taqat wale izzat wale
qudrat ka dafina hai jis ko hum gor-e-ghariban kahte hain

pi ghafil ab parhez na kar kuchh talKH sahi kuchh tez sahi
le de ke yahi hai ek dawa-e-gardish-e-dauran kahte hain

maiKHane ke phere karta hai ab waiz 'beKHud' sunte hain
us ne bhi shayad bandh liya paimane se paiman kahte hain

(766) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain written by Abbas Ali Khan Bekhud at UrduPoint. Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain is one of the masterpieces written by Abbas Ali Khan Bekhud. You can also find the complete poetry collection of Abbas Ali Khan Bekhud by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abbas Ali Khan Bekhud' above.

Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Ye To KHizan Ne Rup Bhara Hum Jis Ko Bahaaran Kahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.