Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi, Urdu Ghazal By Abul Mujahid Zahid

Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abul Mujahid Zahid. Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قفس سے چھٹنے پہ شاد تھے ہم کہ لذت زندگی ملے گی

بو المجاہد زاہد

قفس سے چھٹنے پہ شاد تھے ہم کہ لذت زندگی ملے گی

یہ کیا خبر تھی بہار گلشن لہو میں ڈوبی ہوئی ملے گی

جن اہل ہمت کے راستوں میں بچھائے جاتے ہیں آج کانٹے

انہی کے خون جگر سے رنگیں چمن کی ہر اک کلی ملے گی

وہ دن بھی تھے جب اندھیری راتوں میں بھی قدم راہ راست پر تھے

اور آج جب روشنی ملی ہے تو زیست بھٹکی ہوئی ملے گی

نئی سحر کے حسین سورج تجھے غریبوں سے واسطہ کیا

جہاں اجالا ہے سیم و زر کا وہیں تری روشنی ملے گی

کبھی تو نسل و وطن پرستی کی تیرگی کو شکست ہوگی

کبھی تو شام الم مٹے گی کبھی تو صبح خوشی ملے گی

وہ ہم نہیں ہیں کہ صرف اپنے ہی گھر میں شمعیں جلا کے بیٹھیں

وہاں وہاں روشنی کریں گے جہاں جہاں تیرگی ملے گی

تلاش منزل کا عزم محکم دلیل منزل رسی ہے زاہدؔ

قدم تو اپنے بڑھاؤ آگے کھلی ہوئی راہ بھی ملے گی

بو المجاہد زاہد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi

Abul Mujahid Zahid

qafas se chhuTne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi
ye kya KHabar thi bahaar-e-gulshan lahu mein Dubi hui milegi

jin ahl-e-himmat ke raston mein bichhae jate hain aaj kanTe
unhi ke KHun-e-jigar se rangin chaman ki har ek kali milegi

wo din bhi the jab andheri raaton mein bhi qadam rah-e-rast par the
aur aaj jab raushni mili hai to zist bhaTki hui milegi

nai sahar ke hasin suraj tujhe gharibon se wasta kya
jahan ujala hai sim-o-zar ka wahin teri raushni milegi

kabhi to nasl-o-watan-parasti ki tirgi ko shikast hogi
kabhi to sham-e-alam miTegi kabhi to subh-e-KHushi milegi

wo hum nahin hain ki sirf apne hi ghar mein shamen jala ke baiThen
wahan wahan raushni karenge jahan jahan tirgi milegi

talash-e-manzil ka azm-e-mohkam dalil-e-manzil-rasi hai 'zahid'
qadam to apne baDhao aage khuli hui rah bhi milegi

(583) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi written by Abul Mujahid Zahid at UrduPoint. Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi is one of the masterpieces written by Abul Mujahid Zahid. You can also find the complete poetry collection of Abul Mujahid Zahid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abul Mujahid Zahid' above.

Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.