Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوا ہے طور بربادی جو بے دستور پہلو میں

آغا حجو شرف

ہوا ہے طور بربادی جو بے دستور پہلو میں

دل بے تاب کو رہتا ہے نامنظور پہلو میں

عجب دل کو لگی ہے لو عجب ہے نور پہلو میں

کیا ہے عشق نے روشن چراغ طور پہلو میں

کہا جو میں نے میرے دل کی اک تصویر کھنچوا دو

منگا کر رکھ دیا اک شیشہ چکناچور پہلو میں

خوشی ہو ہو کے الفت میں جو بار غم اٹھاتا ہے

دل شیدا ہے یا ہے عشق کا مزدور پہلو میں

ہوس ہے دل کو تیرے ہاتھ سے مجروح ہونے کی

لگا دے اک چھری اے قاتل مغرور پہلو میں

ہم آغوشی سے جب سے یار نے پہلو تہی کی ہے

اسی دن سے ہوئی ہے بے کلی مامور پہلو میں

تری تصویر جب میں ڈھونڈنے اٹھتا ہوں جنت میں

بٹھا لیتی ہے منت کر کے مجھ کو حور پہلو میں

تڑپ جاتا ہے دل تیری جدائی یاد آتی ہے

چمک جاتا ہے یارب کس پری کا نور پہلو میں

تصدق تجھ پہ جس دم نجد میں ہو جائے گا مجنوں

جگہ دے گا ترا دیوانۂ مغفور پہلو میں

خدنگ ناز کی آمد پر آمد اس میں رہتی ہے

یہ باب دلکشا ہے یا کہ ہے ناسور پہلو میں

الٰہی میرے اس کے وہ ہم آغوشی کی صورت ہو

کہ جیسے دل کی ہے پیچیدگی مشہور پہلو میں

ہوا اس درجہ غلبہ اس پہ ٹھنڈی ٹھنڈی سانسوں کا

کہ آخر دل ہمارا ہو گیا کافور پہلو میں

نئی تیر لب معشوق نے کی رخنہ پردازی

تسلط تو کیا دل میں ہوا ناسور پہلو میں

برابر اپنے بیٹھے دیکھا ہے یوسف کو رویا میں

خدا چاہے تو آ بیٹھے وہ رشک حور پہلو میں

مسلم اس کے ہونے کی شرفؔ تدبیر بتلاؤ

پڑا ہے مدتوں سے شیشۂ دل چور پہلو میں

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein

Agha Hajju Sharaf

hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastur pahlu mein
dil-e-betab ko rahta hai na-manzur pahlu mein

ajab dil ko lagi hai lau ajab hai nur pahlu mein
kiya hai ishq ne raushan charagh-e-tur pahlu mein

kaha jo main ne mere dil ki ek taswir khinchwa do
manga kar rakh diya ek shisha chaknachur pahlu mein

KHushi ho ho ke ulfat mein jo bar-e-gham uThata hai
dil-e-shaida hai ya hai ishq ka mazdur pahlu mein

hawas hai dil ko tere hath se majruh hone ki
laga de ek chhuri ai qatil-e-maghrur pahlu mein

ham-aghoshi se jab se yar ne pahlu-tahi ki hai
usi din se hui hai be-kali mamur pahlu mein

teri taswir jab main DhunDne uThta hun jannat mein
biTha leti hai minnat kar ke mujh ko hur pahlu mein

taDap jata hai dil teri judai yaad aati hai
chamak jata hai ya-rab kis pari ka nur pahlu mein

tasadduq tujh pe jis dam najd mein ho jaega majnun
jagah dega tera diwana-e-maghfur pahlu mein

KHadang-e-naz ki aamad par aamad is mein rahti hai
ye bab-e-dil-kusha hai ya ki hai nasur pahlu mein

ilahi mere us ke wo ham-aghoshi ki surat ho
ki jaise dil ki hai pechidgi mashhur pahlu mein

hua is darja ghalba us pe ThanDi ThanDi sanson ka
ki aaKHir dil hamara ho gaya kafur pahlu mein

nai tir-e-lab-e-mashuq ne ki raKHna-pardazi
tasallut to kiya dil mein hua nasur pahlu mein

barabar apne baiThe dekha hai yusuf ko ruya mein
KHuda chahe to aa baiThe wo rashk-e-hur pahlu mein

muslim us ke hone ki 'sharaf' tadbir batlao
paDa hai muddaton se shisha-e-dil chur pahlu mein

(743) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.