Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

الٰہی خیر جو شر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

آغا حجو شرف

الٰہی خیر جو شر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

تأمل اس میں اگر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

کچھ ان گھر سے نہیں کم ہمارا خانۂ دل

جو آدمی کا گزر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

وہ جان لیتے ہیں ہم ان پہ جان دیتے ہیں

نصیحتوں کا اثر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

مرے مٹیں گے ہم اے دل یہی جو چشمک ہے

صفائی مد نظر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

کرے گا ناز تڑپنے میں ہم سے کیا بسمل

کمیٔ درد جگر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

وہ تیغ زن ہیں تو ہم بھی جگر پہ روکیں گے

جو احتیاج سپر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

وہ بے خبر ہیں جہاں سے تو ہم ہیں خود رفتہ

زمانے کی جو خبر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

خجل ہیں گالوں سے ان کے ہمارے داغوں سے

فروغ شمس و قمر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

تم آئنے میں یہ کس نازنیں سے کہتے تھے

بغور دیکھ کمر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

شب مزار سے کچھ کم نہیں ہے شام فراق

اگر اسیر سحر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

وہ گالی دیں گے تو بوسہ شرفؔ میں لے لوں گا

لحاظ پاس اگر واں نہیں تو یاں بھی نہیں

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin

Agha Hajju Sharaf

ilahi KHair jo shar wan nahin to yan bhi nahin
tammul is mein agar wan nahin to yan bhi nahin

kuchh un ghar se nahin kam hamara KHana-e-dil
jo aadmi ka guzar wan nahin to yan bhi nahin

wo jaan lete hain hum un pe jaan dete hain
nasihaton ka asar wan nahin to yan bhi nahin

mare miTenge hum ai dil yahi jo chashmak hai
safai madd-e-nazar wan nahin to yan bhi nahin

karega naz taDapne mein hum se kya bismil
kami-e-dard-e-jigar wan nahin to yan bhi nahin

wo tegh-zan hain to hum bhi jigar pe rokengi
jo ehtiyaj-e-sipar wan nahin to yan bhi nahin

wo be-KHabar hain jahan se to hum hain KHud-rafta
zamane ki jo KHabar wan nahin to yan bhi nahin

KHajil hain galon se un ke hamare daghon se
farogh-e-shams-o-qamar wan nahin to yan bhi nahin

tum aaine mein ye kis naznin se kahte the
baghaur dekh kamar wan nahin to yan bhi nahin

shab-e-mazar se kuchh kam nahin hai sham-e-firaq
agar asir-e-sahar wan nahin to yan bhi nahin

wo gali denge to bosa 'sharaf' main le lunga
lihaz-e-pas agar wan nahin to yan bhi nahin

(607) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.