Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai, Urdu Ghazal By Ameer Raza Mazhari

Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Raza Mazhari. Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اگرچہ شعلہ عیاں نہیں ہے اگرچہ لب پر دھواں نہیں ہے

امیر رضا مظہری

اگرچہ شعلہ عیاں نہیں ہے اگرچہ لب پر دھواں نہیں ہے

نہاں جسے ہم سمجھ رہے ہیں وہ آگ دل کی نہاں نہیں ہے

یہ راہ وہ ہے کہ ہر مسافر کے تجربے جس میں مختلف ہیں

وہ کون انساں ہے زندگی جس کی اک نئی داستاں نہیں ہے

کدھر کو جائیں کسے پکاریں مڑیں کہ آگے ہی بڑھتے جائیں

غبار کا بھی ترے سہارا ہمیں تو اے کارواں نہیں ہے

ذرا یہ صحرا کو جانے والوں سے کوئی پوچھے کہاں چلے تم

کہیں ہے کوئی زمین ایسی جہاں پہ یہ آسماں نہیں ہے

وہ مہرباں ہو تو وسوسہ یہ کہ مہربانی یہ دفعتاً کیوں

وہ سرگراں ہے تو ہے یہ حسرت کہ ہائے وہ مہرباں نہیں ہے

یہ دل کی پیہم سی بے قراری نظر کی حرکات اضطراری

اور اس پہ اصرار پردہ داری کہ جیسے وہ رازداں نہیں ہے

وہی حکایت دل و نظر کی وہی کہانی ہے چشم تر کی

رضاؔ یہ میری غزل سرائی نئی کوئی داستاں نہیں ہے

امیر رضا مظہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai

Ameer Raza Mazhari

agarche shoala ayan nahin hai agarche lab par dhuan nahin hai
nihan jise hum samajh rahe hain wo aag dil ki nihan nahin hai

ye rah wo hai ki har musafir ke tajarbe jis mein muKHtalif hain
wo kaun insan hai zindagi jis ki ek nai dastan nahin hai

kidhar ko jaen kise pukaren muDen ki aage hi baDhte jaen
ghubar ka bhi tere sahaara hamein to ai karwan nahin hai

zara ye sahra ko jaane walon se koi puchhe kahan chale tum
kahin hai koi zamin aisi jahan pe ye aasman nahin hai

wo mehrban ho to waswasa ye ki mehrbani ye dafatan kyon
wo sargiran hai to hai ye hasrat ki hae wo mehrban nahin hai

ye dil ki paiham si be-qarari nazar ki harkat-e-iztirari
aur us pe israr-e-parda-dari ki jaise wo raaz-dan nahin hai

wahi hikayat dil-o-nazar ki wahi kahani hai chashm-e-tar ki
'raza' ye meri ghazal-sarai nai koi dastan nahin hai

(1172) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai written by Ameer Raza Mazhari at UrduPoint. Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai is one of the masterpieces written by Ameer Raza Mazhari. You can also find the complete poetry collection of Ameer Raza Mazhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Raza Mazhari' above.

Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Agarche Shoala Ayan Nahin Hai Agarche Lab Par Dhuan Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.