Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh, Urdu Ghazal By Arman Najmi

Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arman Najmi. Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک بے نشان حرف صدا کی طرف نہ دیکھ

ارمان نجمی

اک بے نشان حرف صدا کی طرف نہ دیکھ

وہ دور جا چکا ہے ہوا کی طرف نہ دیکھ

آباد کر لے دیدہ و دل میں صنم کدے

کہتا ہے وہ کہ ایک خدا کی طرف نہ دیکھ

اپنی ہی عافیت کی تگ و دو میں محو رہ

اس سر زمین آہ و بکا کی طرف نہ دیکھ

اپنے افق کی تنگ فضا سے ہی کام رکھ

میدان حشر دشت بلا کی طرف نہ دیکھ

کر لے نہ اپنے شہر طلسمات کا اسیر

اس کی نگاہ ہوش ربا کی طرف نہ دیکھ

رکھ خاک دل پہ اپنے قدم احتیاط سے

موج ہوائے سمت نما کی طرف نہ دیکھ

ارمان نجمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh

Arman Najmi

ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh
wo dur ja chuka hai hawa ki taraf na dekh

aabaad kar le dida-o-dil mein sanam-kade
kahta hai wo ki ek KHuda ki taraf na dekh

apni hi aafiyat ki tag-o-dau mein mahw rah
is sar-zamin-e-ah-o-buka ki taraf na dekh

apne ufuq ki tang faza se hi kaam rakh
maidan-e-hashr dasht-e-bala ki taraf na dekh

kar le na apne shahr-e-tilismat ka asir
us ki nigah-e-hosh-ruba ki taraf na dekh

rakh KHak-e-dil pe apne qadam ehtiyat se
mauj-e-hawa-e-samt-numa ki taraf na dekh

(731) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh written by Arman Najmi at UrduPoint. Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh is one of the masterpieces written by Arman Najmi. You can also find the complete poetry collection of Arman Najmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arman Najmi' above.

Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Be-nishan Harf-e-sada Ki Taraf Na Dekh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.