Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar, Urdu Ghazal By Arman Najmi

Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arman Najmi. Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گھنی آبادیوں کی بے امانی کا تماشا کر

ارمان نجمی

گھنی آبادیوں کی بے امانی کا تماشا کر

نکل کر گھر سے مرگ ناگہانی کا تماشا کر

جو زندہ آگ میں ڈالے گئے لاشیں نہ گن ان کی

جو بچ نکلے ہیں ان کی سخت جانی کا تماشا کر

جو تخت و تاج کے مالک ہیں کیا وہ معتبر بھی ہیں

شر انگیزی میں ڈوبی حکمرانی کا تماشا کر

بچا کیا رہ گیا کالک بھرے جھلسے مکانوں میں

اجاڑی بستیوں کی بے نشانی کا تماشا کر

نئی تاریخ کے صفحوں پہ لکھا جا رہا ہے کیا

حروف قہر کی آتش فشانی کا تماشا کر

جو دل میں ہے اسے نا گفتہ رہنے دے تو بہتر ہے

بدلتی صورت حرف و معانی کا تماشا کر

نہ کوئی خواب باقی ہے نہ آنسو خشک آنکھوں میں

تہی دستوں کی گم صم نوحہ خوانی کا تماشا کر

ہر اک شب شکر کر تیری ابھی گردن سلامت ہے

ہر اک دن سیل خوں کی بیکرانی کا تماشا کر

قیامت سر تک آ پہنچی ہے رکھ لے ہاتھ آنکھوں پر

متاع زندگی کی رائیگانی کا تماشا کر

ارمان نجمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar

Arman Najmi

ghani aabaadiyon ki be-amani ka tamasha kar
nikal kar ghar se marg-e-na-gahani ka tamasha kar

jo zinda aag mein Dale gae lashen na gin un ki
jo bach nikle hain un ki saKHt-jaani ka tamasha kar

jo taKHt-o-taj ke malik hain kya wo mo'tabar bhi hain
shar-angezi mein Dubi hukmarani ka tamasha kar

bacha kya rah gaya kalak bhare jhulse makanon mein
ujaDi bastiyon ki be-nishani ka tamasha kar

nai tariKH ke safhon pe likkha ja raha hai kya
huruf-e-qahr ki aatish-fishani ka tamasha kar

jo dil mein hai use na-gufta rahne de to behtar hai
badalti surat-e-harf-o-maani ka tamasha kar

na koi KHwab baqi hai na aansu KHushk aankhon mein
tahi-daston ki gum-sum nauha-KHwani ka tamasha kar

har ek shab shukr kar teri abhi gardan salamat hai
har ek din sail-e-KHun ki be-karani ka tamasha kar

qayamat sar tak aa pahunchi hai rakh le hath aankhon par
mata-e-zindagi ki raegani ka tamasha kar

(641) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar written by Arman Najmi at UrduPoint. Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar is one of the masterpieces written by Arman Najmi. You can also find the complete poetry collection of Arman Najmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arman Najmi' above.

Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghani Aabaadiyon Ki Be-amani Ka Tamasha Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.