LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لوٹے مزے جو ہم نے تمہارے اگال کے

ارشد علی خان قلق

لوٹے مزے جو ہم نے تمہارے اگال کے

مر مر گئے رقیب لہو ڈال ڈال کے

بے یار دود و لکا مرے آسماں بنا

ساقی بنا دے ماہ پیالہ اچھال کے

بگڑے ہوئے ہو آج بناوٹ نہ کیجیے

اے جان چھپتے ہیں کہیں تیور ملال کے

پہنچا دیا ہے دم میں لب بام یار تک

قائل ہیں ہم تو اپنی کمند خیال کے

دنیائے دوں کو آنکھ اٹھا کر نہ دیکھیے

عاشق جوان ہوتے ہیں کب پیر زال کے

اپنے ہی سلسلے میں ہے بیعت انہیں نصیب

زلفوں کے سب فقیر ہمارے ہیں بال کے

ٹوٹیں نہ خار اور کہیں پھوٹیں نہ آبلے

وحشت میں پاؤں رکھتے ہیں اپنا سنبھال کے

وحشت میں اپنے ہاتھ سے پہنچا ہمیں گزند

پچھتائے آستین میں ہم سانپ پال کے

ہم ان سے اور وہ ہم سے دم صلح تھے خجل

چھینٹے لڑا کیے عرق انفعال کے

بے یار مے کشی بھی جو کیجے تو غم کے ساتھ

جام و سبو بنائیے گرد ملال کے

دل میں تمہاری یاد بھی ہے جان لیجئے

تیر نگہ لگایے گا دیکھ بھال کے

دانتوں میں مسی مل کے اگر کیجیے خلال

نظروں میں میل سرمہ ہوں تنکے خلال کے

رفتار کلک قہر ہے آفت سریر کلک

مضموں جو لکھ رہا ہوں ترے بول چال کے

ہم مشربوں میں چل کے قلقؔ مے کشی کرو

جھگڑے وہاں نہیں ہیں حرام و حلال کے

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke

Arshad Ali Khan Qalaq

luTe maze jo hum ne tumhaare ugal ke
mar mar gae raqib lahu Dal Dal ke

be-yar dud-o-lukka mere aasman bana
saqi bana de mah piyala uchhaal ke

bigDe hue ho aaj banawaT na kijiye
ai jaan chhupte hain kahin tewar malal ke

pahuncha diya hai dam mein lab-e-baam-e-yar tak
qail hain hum to apni kamand-e-KHayal ke

duniya-e-dun ko aankh uTha kar na dekhiye
aashiq jawan hote hain kab pir-zal ke

apne hi silsile mein hai baiat unhen nasib
zulfon ke sab faqir hamare hain baal ke

TuTen na KHar aur kahin phuTen na aable
wahshat mein panw rakhte hain apna sambhaal ke

wahshat mein apne hath se pahuncha hamein gazand
pachhtae aastin mein hum sanp pal ke

hum un se aur wo hum se dam-e-sulh the KHajil
chhinTe laDa kiye araq-e-infial ke

be-yar mai-kashi bhi jo kije to gham ke sath
jam-o-subu banaiye gard-e-malal ke

dil mein tumhaari yaad bhi hai jaan lijiye
tir-e-nigah lagaiega dekh-bhaal ke

danton mein missi mal ke agar kijiye KHelal
nazron mein mail surma hon tinke KHelal ke

raftar-e-kilk qahr hai aafat sarir-e-kilk
mazmun jo likh raha hun tere bol-chaal ke

ham-mashrabon mein chal ke 'qalaq' mai-kashi karo
jhagDe wahan nahin hain haram-o-halal ke

(421) ووٹ وصول ہوئے

You can read LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke is a widely read Urdu Ghazal. If you like LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.