Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یگانہ ان کا بیگانہ ہے بیگانہ یگانہ ہے

ارشد علی خان قلق

یگانہ ان کا بیگانہ ہے بیگانہ یگانہ ہے

خدائی سے نرالا ان بتوں کا کارخانہ ہے

نگاہ ناز سے صید اپنا مرغ دل نہیں ہوتا

کبھی اڑتا نہیں ناوک سے جو وہ یہ نشانہ ہے

ادھر کلیاں چٹکتی ہیں ادھر شور عنادل ہے

چمن میں کس کی آمد ہے یہ کیسا شادیانہ ہے

جنوں نے کی ہے قبر قیس کی اس طرح آرائش

چراغ غول روشن ہیں بگولہ شامیانہ ہے

ہمارا حال دل سننے سے دل پر چوٹ لگتی ہے

اڑا دیتا ہے نیند آنکھوں سے جو وہ یہ فسانہ ہے

پھلا پھولا نہ کشت دہر میں تخم امید دل

نہیں آگاہ جو نشو و نما سے یہ وہ دانہ ہے

جہاں کوشش ذرا کی نقد مضمون اس سے ہاتھ آیا

زمین شعر میں بھی دفن کیا کوئی خزانہ ہے

بیاں کرتا ہے میرے وصف اکثر اپنی محفل میں

یہ اس عیار کی مجھ سے لگاوٹ غائبانہ ہے

نوا سنجی سے میری بلبلوں کے ہوش اڑتے ہیں

گلوں سے بھی کہیں رنگیں سوا میرا ترانہ ہے

تو مشتاقوں سے اپنے چشم پوشی روز کرتا ہے

ترے دیدار کی دولت بھی قاروں کا خزانہ ہے

عروس مرگ سے شادی ہوئی ہے خوں سے لب تر ہے

گلے میں یہ شہید ناز کے جوڑا شہانہ ہے

کل ان سے پوچھ لیں گے کرتے ہو اب بھی دل آزاری

جہاں تک چاہیں کر لیں ظلم آج ان کا زمانہ ہے

ہمیں بخشے نہ بخشے دخل یا مرضی میں مالک کی

وگرنہ اس کی رحمت کو تو درکار اک بہانہ ہے

جبیں سا رہتے ہیں ہر دم ملک جن و بشر تو کیا

در دولت سرائے یار کا وہ آستانہ ہے

عنادل کی صدا کیا بوم بھی ہے جس جگہ عنقا

قلقؔ اس گلشن ویراں میں اپنا آشیانہ ہے

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai

Arshad Ali Khan Qalaq

yagana un ka begana hai begana yagana hai
KHudai se nirala un buton ka karKHana hai

nigah-e-naz se said apna murgh-e-dil nahin hota
kabhi uDta nahin nawak se jo wo ye nishana hai

udhar kaliyan chaTakti hain idhar shor-e-anadil hai
chaman mein kis ki aamad hai ye kaisa shadiyana hai

junun ne ki hai qabr-e-qais ki is tarah aaraish
charagh-e-ghul raushan hain bagula shamiyana hai

hamara haal-e-dil sunne se dil par choT lagti hai
uDa deta hai nind aankhon se jo wo ye fasana hai

phala-phula na kisht-e-dahr mein tuKHm-e-umid-e-dil
nahin aagah jo nashw-o-numa se ye wo dana hai

jahan koshish zara ki naqd-e-mazmun us se hath aaya
zamin-e-sher mein bhi dafn kya koi KHazana hai

bayan karta hai mere wasf aksar apni mahfil mein
ye us ayyar ki mujh se lagawaT ghaebana hai

nawa-sanji se meri bulbulon ke hosh uDte hain
gulon se bhi kahin rangin siwa mera tarana hai

tu mushtaqon se apne chashm-poshi roz karta hai
tere didar ki daulat bhi qarun ka KHazana hai

urus-e-marg se shadi hui hai KHun se lab tar hai
gale mein ye shahid-e-naz ke joDa shahana hai

kal un se puchh lenge karte ho ab bhi dil-azari
jahan tak chahen kar len zulm aaj un ka zamana hai

hamein baKHshe na baKHshe daKHl ya marzi mein malik ki
wagarna us ki rahmat ko to darkar ek bahana hai

jabin-sa rahte hain har-dam malak jinn-o-bashar to kya
dar-e-daulat sara-e-yar ka wo aastana hai

anadil ki sada kya bum bhi hai jis jagah anqa
'qalaq' is gulshan-e-viran mein apna aashiyana hai

(524) ووٹ وصول ہوئے

You can read Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.