Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai, Urdu Ghazal By Asar Faridi

Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Asar Faridi. Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بزرگوں نے جو تہذیبی اثاثہ گھر پہ رکھا ہے

اثر فریدی

بزرگوں نے جو تہذیبی اثاثہ گھر پہ رکھا ہے

لگایا ہے اسے آنکھوں سے میں نے سر پہ رکھا ہے

یہاں کا عہدہ‌ و منصب تو مال و زر پہ رکھا ہے

مگر انصاف ہم نے عرصۂ محشر پہ رکھا ہے

تمہارے راستے میں تیرگی مائل نہیں ہوگی

چلے آؤ دیا ہم نے جلا کے در پہ رکھا ہے

مجھے احساس تنہائی نہیں مانا کہ تنہا ہوں

جو خط لکھا ہے تم نے وہ مرے بستر پہ رکھا ہے

اثر مشکل ہے کچھ کہنا بتاؤں میں تمہیں کیسے

ہمارا فیصلہ تو بس پس منظر پہ رکھا ہے

اثر فریدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai

Asar Faridi

buzurgon ne jo tahzibi asasa ghar pe rakha hai
lagaya hai use aankhon se main ne sar pe rakha hai

yahan ka ohda-o-mansab to mal-o-zar pe rakha hai
magar insaf hum ne arsa-e-mehshar pe rakha hai

tumhaare raste mein tirgi mail nahin hogi
chale aao diya hum ne jala ke dar pe rakha hai

mujhe ehsas-e-tanhai nahin mana ki tanha hun
jo KHat likha hai tum ne wo mere bistar pe rakha hai

asar mushkil hai kuchh kahna bataun main tumhein kaise
hamara faisla to bas pas-e-manzar pe rakha hai

(1108) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai written by Asar Faridi at UrduPoint. Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai is one of the masterpieces written by Asar Faridi. You can also find the complete poetry collection of Asar Faridi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asar Faridi' above.

Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Buzurgon Ne Jo Tahzibi Asasa Ghar Pe Rakha Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.