Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona, Urdu Ghazal By Aziz Lakhnavi

Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Lakhnavi. Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیکھ کر ہر در و دیوار کو حیراں ہونا

عزیز لکھنوی

دیکھ کر ہر در و دیوار کو حیراں ہونا

وہ مرا پہلے پہل داخل زنداں ہونا

قابل دید ہے اس گھر کا بھی ویراں ہونا

جس کے ہر گوشہ میں مخفی تھا بیاباں ہونا

جی نہ اٹھوں گا ہے بیکار پشیماں ہونا

جاؤ اب ہو چکا جو کچھ تھا مری جاں ہونا

واہمہ مجھ کو دکھاتا ہے جنوں کے ساماں

نظر آتا ہے مجھے گھر کا بیاباں ہونا

اف مرے اجڑے ہوئے گھر کی تباہی دیکھو

جس کے ہر ذرہ پہ چھایا ہے بیاباں ہونا

حادثے دونوں یہ عالم میں اہم گزرے ہیں

حادثے دونوں یہ عالم میں اہم گزرے ہیں

میرا مرنا تری زلفوں کا پریشاں ہونا

الحذر گور غریباں کی ڈرونی راتیں

اور وہ ان کے گھنے بال پریشاں ہونا

رات بھر سوز محبت نے جلایا مجھ کو

تھا مقدر میں چراغ شب ہجراں ہونا

کیوں نہ وحشت میں بھی پابند محبت رہتا

تھا بیاباں میں مجھے قیدئ زنداں ہونا

ہوگا اک وقت میں یہ واقعۂ تاریخی

یاد رکھنا مرے کاشانے کا ویراں ہونا

کچھ نہ پوچھو شب وعدہ مرے گھر کی رونق

اللہ اللہ وہ سامان سے ساماں ہونا

جوش میں لے کے اک انگڑائی کسی کا کہنا

تم کو آتا ہی نہیں چاک گریباں ہونا

ان کی اس کوشش بے حد کا پتہ دیتا ہے

چارہ سازوں کا مرے لاش پہ گریاں ہونا

عالم عشق کی فطرت میں خلل آتا ہے

مان لوں حضرت ناصح کا گر انساں ہونا

سرخ ڈوری تری آنکھوں کی الٰہی توبہ

چاہیئے تھا انہیں پیوست رگ جاں ہونا

ہو چلیں آپ کے بیمار کی آنکھیں بے نور

قہر تھا صبح کے تارے کا نمایاں ہونا

میں کروں ضبط ادھر ان کو پسینہ آئے

چاہئے یوں غم پنہاں کو نمایاں ہونا

اللہ اللہ یہ سلیقہ ترا اے شعلۂ طور

کس طرح تو نے چھپایا ہے نمایاں ہونا

ان سے کرتا ہے دم نزع وصیت یہ عزیزؔ

خلق روئے گی مگر تم نہ پریشاں ہونا

عزیز لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona

Aziz Lakhnavi

dekh kar har dar-o-diwar ko hairan hona
wo mera pahle-pahal daKHil-e-zindan hona

qabil-e-did hai us ghar ka bhi viran hona
jis ke har gosha mein maKHfi tha bayaban hona

ji na uTThunga hai bekar pasheman hona
jao ab ho chuka jo kuchh tha meri jaan hona
wahima mujh ko dikhata hai junun ke saman

nazar aata hai mujhe ghar ka bayaban hona

uf mere ujDe hue ghar ki tabahi dekho
jis ke har zarre pe chhaya hai bayaban hona
hadse donon ye aalam mein aham guzre hain
hadse donon ye aalam mein aham guzre hain
mera marna teri zulfon ka pareshan hona

al-hazar gor-e-ghariban ki Darauni raaten
aur wo un ke ghane baal pareshan hona

raat-bhar soz-e-mohabbat ne jalaya mujh ko
tha muqaddar mein charagh-e-shab-e-hijran hona

kyun na wahshat mein bhi paband-e-mohabbat rahta
tha bayaban mein mujhe qaidi-e-zindan hona

hoga ek waqt mein ye waqia-e-tariKHi
yaad rakhna mere kashane ka viran hona

kuchh na puchho shab-e-wada mere ghar ki raunaq
allah allah wo saman se saman hona

josh mein le ke ek angDai kisi ka kahna
tum ko aata hi nahin chaak-gareban hona

un ki us koshish-e-be-had ka pata deta hai
chaarasazon ka mere lash pe giryan hona

aalam-e-ishq ki fitrat mein KHalal aata hai
man lun hazrat-e-naseh ka gar insan hona

surKH Dori teri aankhon ki ilahi tauba
chahiye tha inhen paiwast-e-rag-e-jaan hona

ho chalen aap ke bimar ki aankhen be-nur
qahr tha subh ke tare ka numayan hona

main karun zabt idhar un ko pasina aae
chahiye yun gham-e-pinhan ko numayan hona

allah allah ye saliqa tera ai shoala-e-tur
kis tarah tu ne chhupaya hai numayan hona

un se karta hai dam-e-naza wasiyyat ye 'aziz'
KHalq roegi magar tum na pareshan hona

(687) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona written by Aziz Lakhnavi at UrduPoint. Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona is one of the masterpieces written by Aziz Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Lakhnavi' above.

Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.