Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin, Urdu Ghazal By Aziz Lakhnavi

Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Lakhnavi. Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک ہی خط میں ہے کیا حال جو مذکور نہیں

عزیز لکھنوی

ایک ہی خط میں ہے کیا حال جو مذکور نہیں

دل تو دل عشق میں سادہ ورق طور نہیں

ایک ہم ہیں کہ کسی بات کا مقدور نہیں

ایک وہ ہیں کہ کسی رنگ میں مجبور نہیں

امتحاں گاہ محبت نہیں گل زار خلیل

کون ایسا ہے جو زخموں سے یہاں چور نہیں

نزع کا وقت ہے بیٹھا ہے سرہانے کوئی

وقت اب وہ ہے کہ مرنا ہمیں منظور نہیں

قابل غور ہے اے جلوہ پرستان ازل

یہ کہانی ہے مری واقعۂ طور نہیں

مصر کا چاند ہو آغوش میں زنداں کے طلوع

فطرت حسن بدل جائے تو کچھ دور نہیں

سر جھکائے در دولت سے پلٹنے والے

بے نیازی کی ادائیں ہیں وہ مغرور نہیں

جبہ سائی بھی گوارا نہیں کرتا کوئی

اٹھ کے جانا در دولت سے بھی دستور نہیں

عشق میں سرحد منزل سے کچھ آگے ہوں گے

اس کا رونا ہے کوئی سعی بھی مشکور نہیں

دل میں پیوست ہوئی تھی جو مرے روز ازل

ہے وہی شوخ نظر صاعقۂ طور نہیں

دل کو بھی دی گئی ہے خدمت درد ابدی

صرف آنکھیں ہی مری رونے پہ معمور نہیں

سر مژگاں مرے آنسو کا ستارہ چمکا

دار پر اب اثر جذبۂ منصور نہیں

صاد سرخی سے کیا کس نے سر فرد جمال

اپنے عالم میں ترے دیدۂ مخمور نہیں

زندگی ختم ہوئی جب تو اک آواز سنی

آ گیا میں ترے نزدیک بس اب دور نہیں

روح کہتی ہوئی نکلی ہے دم نزع عزیزؔ

ان سے اس بزم میں ملنا ہمیں منظور نہیں

عزیز لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin

Aziz Lakhnavi

ek hi KHat mein hai kya haal jo mazkur nahin
dil to dil ishq mein sada waraq-e-tur nahin

ek hum hain ki kisi baat ka maqdur nahin
ek wo hain ki kisi rang mein majbur nahin

imtihan-gah-e-mohabbat nahin gul-e-zar-e-KHalil
kaun aisa hai jo zaKHmon se yahan chur nahin

naza ka waqt hai baiTha hai sirhane koi
waqt ab wo hai ki marna hamein manzur nahin

qabil-e-ghaur hai ai jalwa-paristan-e-azal
ye kahani hai meri waqia-e-tur nahin

misr ka chand ho aaghosh mein zindan ke tulua
fitrat-e-husn badal jae to kuchh dur nahin

sar jhukae dar-e-daulat se palaTne wale
be-niyazi ki adaen hain wo maghrur nahin

jubba-sai bhi gawara nahin karta koi
uTh ke jaana dar-e-daulat se bhi dastur nahin

ishq mein sarhad-e-manzil se kuchh aage honge
us ka rona hai koi sai bhi mashkur nahin

dil mein paiwast hui thi jo mere roz-e-azal
hai wahi shoKH-nazar saiqa-e-tur nahin

dil ko bhi di gai hai KHidmat-e-dard-e-abadi
sirf aankhen hi meri rone pe mamur nahin

sar-e-mizhgan mere aansu ka sitara chamka
dar par ab asar-e-jazba-e-mansur nahin

sad surKHi se kiya kis ne sar-e-fard-e-jamal
apne aalam mein tere dida-e-maKHmur nahin

zindagi KHatm hui jab to ek aawaz suni
aa gaya main tere nazdik bas ab dur nahin

ruh kahti hui nikli hai dam-e-naza 'aziz'
un se is bazm mein milna hamein manzur nahin

(561) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin written by Aziz Lakhnavi at UrduPoint. Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin is one of the masterpieces written by Aziz Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Lakhnavi' above.

Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.