Aasman Mein Aag, Urdu Nazam By Balraj Komal

Aasman Mein Aag is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Balraj Komal. Aasman Mein Aag comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aasman Mein Aag on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آسمان میں آگ

بلراج کومل

پیڑوں کے پتے

جلتی دوپہروں کو

آنے جانے والوں کو

سایہ دیتے ہیں

اپنے ہونے کا اعلان نہیں کرتے

سائے کا اعلان نہیں کرتے

میں گھر سے بچھڑا تھا جب

تو اکثر

برسوں

جلتی دھوپ میں

ان کی شفقت کے سائے میں سویا تھا

کچھ دن سے

دور دور تک آسمان میں آگ

دور دور تک پیاسے جلتے بجھتے لوگ

بادل بارش

سبزہ پتے پودے پیڑ

بھولے بسرے خواب

دور دور تک شعلوں کے طوفان کا موسم آیا

سب کے سر پر

آنے والے موسم کے اعلان کا گھٹتا بڑھتا سایہ

یہ کیسا موسم آیا

بلراج کومل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aasman Mein Aag

Balraj Komal

peDon ke patte
jalti dopahron ko
aane jaane walon ko
saya dete hain
apne hone ka elan nahin karte
sae ka elan nahin karte

main ghar se bichhDa tha jab
to aksar
barson
jalti dhup mein
un ki shafqat ke sae mein soya tha

kuchh din se
dur dur tak aasman mein aag
dur dur tak pyase jalte-bujhte log
baadal barish
sabza patte paude peD
bhule-bisre KHwab

dur dur tak shoalon ke tufan ka mausam aaya
sab ke sir par
aane wale mausam ke elan ka ghaTta-baDhta saya
ye kaisa mausam aaya

(765) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aasman Mein Aag written by Balraj Komal at UrduPoint. Aasman Mein Aag is one of the masterpieces written by Balraj Komal. You can also find the complete poetry collection of Balraj Komal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Balraj Komal' above.

Aasman Mein Aag is a widely read Urdu Nazam. If you like Aasman Mein Aag, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.