Shahr Aur Main, Urdu Nazam By Chandrabhan Khayal

Shahr Aur Main is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Chandrabhan Khayal. Shahr Aur Main comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Shahr Aur Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شہر اور میں

چندر بھان خیال

دل پہاڑوں پر چلا جائے کہ میدانوں میں ہو

بھیڑ میں لوگوں کی یا خالی شبستانوں میں ہو

شور پھر بھی تیز طوفانوں کی صورت ہر گھڑی

توڑتا رہتا ہے خلوت خواہ سینوں کا جمود

ریزہ ریزہ ہو گئے میری طرح کتنے وجود

اب نہیں ممکن کسی صحرا میں مجنوں کا ورود

ناتواں شخصیتیں برقی توانائی لیے

رات کے کالے بدن کو چاٹ کر ہیں مطمئن

جل رہا ہے ہر شجر اس شہر کا اب رات دن

اڑ رہے ہیں ہاتھ سے طوطوں کی صورت سال و سن

روشنی کا رنگ جیسے کچھ سمجھ آتا نہیں

شہر کی تہذیب کا رخ کس طرف ہے کیا پتہ

آدمی سادہ ہے یا خنجر بکف ہے کیا پتہ

کس لیے یہ شور مہمل صف بہ صف ہے کیا پتہ

میں نے ہر انداز سے سمجھا ہے سارے شہر کو

شہر جو خوابوں کے جنگل کے سوا کچھ بھی نہیں

عمر ساری چھین کر جس نے دیا کچھ بھی نہیں

جیسے میرے واسطے باقی رہا کچھ بھی نہیں

اپنے گالوں پر طمانچہ جڑ کے خوش ہو جاؤں میں

آج روشن قمقموں کے بیچ جاگا یہ شعور

یوں تو ہر موسم کے چہرے پر نمایاں ہیں سطور

اک پرندہ تک نہیں لیکن ہوا میں دور دور

مچھلیاں چھت پر سکھانے کے لیے جب خواہشیں

سیڑھیوں پر پاؤں رکھتی ہیں تو آ جاتی ہے چیل

ٹھونک دی جائے گی اب شاید سبھی ذہنوں میں کیل

اٹھ رہی ہے ہر طرف جلتے اندھیروں کی فصیل

گیروا کپڑوں میں لپٹا زرد مستقبل مجھے

مشورہ دیتا رہے گا اور میں مر جاؤں گا

چندر بھان خیال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shahr Aur Main

Chandrabhan Khayal

dil pahaDon par chala jae ki maidanon mein ho
bhiD mein logon ki ya KHali shabistanon mein ho

shor phir bhi tez tufanon ki surat har ghaDi
toDta rahta hai KHalwat-KHwah sinon ka jumud

reza reza ho gae meri tarah kitne wajud
ab nahin mumkin kisi sahra mein majnun ka warud

na-tawan shaKHsiyaten barqi tawanai liye
raat ke kale badan ko chaT kar hain mutmain

jal raha hai har shajar is shahr ka ab raat din
uD rahe hain hath se toton ki surat sal-o-sin

raushni ka rang jaise kuchh samajh aata nahin
shahr ki tahzib ka ruKH kis taraf hai kya pata

aadmi sada hai ya KHanjar-ba-kaf hai kya pata
kis liye ye shor-e-mohmal saf-ba-saf hai kya pata

main ne har andaz se samjha hai sare shahr ko
shahr jo KHwabon ke jangal ke siwa kuchh bhi nahin

umr sari chhin kar jis ne diya kuchh bhi nahin
jaise mere waste baqi raha kuchh bhi nahin

apne galon par tamancha jaD ke KHush ho jaun mein
aaj raushan qumqumon ke beach jaga ye shuur

yun to har mausam ke chehre par numayan hain sutur
ek parinda tak nahin lekin hawa mein dur dur

machhliyan chhat par sikhane ke liye jab KHwahishen
siDhiyon par panw rakhti hain to aa jati hai chil

Thonk di jaegi ab shayad sabhi zehnon mein kil
uTh rahi hai har taraf jalte andheron ki fasil

gerua kapDon mein lipTa zard mustaqbil mujhe
mashwara deta rahega aur main mar jaunga

(825) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shahr Aur Main written by Chandrabhan Khayal at UrduPoint. Shahr Aur Main is one of the masterpieces written by Chandrabhan Khayal. You can also find the complete poetry collection of Chandrabhan Khayal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Chandrabhan Khayal' above.

Shahr Aur Main is a widely read Urdu Nazam. If you like Shahr Aur Main, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.